malik-ram
sāhab-e-mulk-e-ilm mālik-rām
mālik-e-mulk-e-hilm mālik-rām
maulid-e-pāk phāliya kī zamīñ
hīr-o-rānjhā kī sar-zamīñ ke qarīñ
shahr-e-gujrāt meñ rahe hai ye muqīm
arz-e-lahore meñ huī ta.alīm
nekī-o-ḳhair-o-ḳhalq meñ faiyyaz
dostī ke bahut baḌe nabbāz
kārvāñ kār-gāh-e-hikmat ke
la.al ik ma.adan-e-mohabbat ke
talabā ke shafīq-o-yāvar haiñ
bahr tahqīq ke shanāvar haiñ
akmal-o-afazal-o-alīm-o-ḳhatīb
akram-o-āzam-o-sharīf-o-nahīf
sāhib-e-ifqra-o-banda-e-durvesh
dostoñ ke baḌe aqīde kesh
un ke maslak meñ be-riyā.ī hai
un kī rindī meñ pārsā.ī hai
nasr meñ un kī nazm kī bū-bās
nazm kī intihā ke ramz-shanās
kis qadar ān-bān hai un kī
be-niyāzāna shaan hai un kī
ab bhī chehre pe hai shabāb kā nuur
sar-basar ilm kī sharāb kā nuur
baat karne meñ phuul jhaḌte haiñ
kabhī laḌte na ye jhagaḌte haiñ
ilm kī justujū pe jaan nisār
bahar-e-tahqīq roz-o-shab bedār
rāh-e-tahqīq pe chale haiñ mudām
chhān Daale irāq-o-misr-o-shām
ġhermany ruus belgium london
har jagah dekhe ilm ke ma.adan
kārvāñ ilm kā hai tez ḳhirām
aur us ke amiir mālik-rām
sāhab-e-ilm-o-sāhab-e-iḳhlāq
dostī meñ ye fard ḳhalq meñ taaq
āshtī aur ilm kā ik ganj
un se pahuñchā nahīñ kisī ko rañj
ramz-dāñ haiñ ye fikr-e-ġhālib ke
haiñ musannif ye zikr-e-ġhālib ke
mohtaram dost arsh-e-farshī ke
haiñ murattab ye nazr-e-arshī ke
haiñ ba-har-rañg ālimoñ ke habīb
nazr-e-zākir unhoñ ne dī tartīb
arabī fārsī ho yā urdu
un kī bātoñ meñ sab kī hai ḳhushbū
un kī tasnīf aurat aur islām
pā.egī dahr meñ baqā-e-davām
ḳhuub likhā talāzimā kā haal
ḳhāndān-e-asad kā husn maqāl
gul-e-ra.anā hai nusḳha-e-artañg
ye bhī bā-kaif hai gul-e-sad-rañg
baratnā bam ki armuġhāñ ba-daham
bas ġhanīmat ki qalb-o-jāñ ba-daham
ilm rā daada az nazar-e-tamkīñ
rahnumā-e-ba-rāh-e-ilm-o-yaqīñ
zehn farḳhanda maġhz tābinda
baad dar shahr-e-ilm pā.inda
ro rāz-e-hirs-o-āz-o-tama-o-havas
nek-ḳhū nek-qalb-o-nek-nafs
sahhr-e-nā-murdamān-o-had-e-āzād
bas hameñ mard-ast ḳhush-atvār
mulk-e-ma.anī kā bādshāh hai ye
shahr-e-inshā kā kaj-kulāh hai ye
ḳhatm hai arsh ab duā pe kalām
ye raheñ bā-murād-o-shād mudām
husn-e-sīrat kī sham.a jaltī rahe
shāḳh-e-ummīd aur phaltī rahe
zindagī ko mile nashāt tamām
pur hamesha rahe surūr kā jaam
nūr-e-ḳhurshīd kī tarah damke
ilm-o-tahqīq kī ziyā chamke
ilm kī raushnī baḌhāte raheñ
ham ko bhī kuchh na kuchh sikhāte raheñ
sahab-e-mulk-e-ilm malik-ram
malik-e-mulk-e-hilm malik-ram
maulid-e-pak phaaliya ki zamin
hir-o-ranjha ki sar-zamin ke qarin
shahr-e-gujraat mein rahe hai ye muqim
arz-e-lahore mein hui talim
neki-o-KHair-o-KHalq mein faiyyaz
dosti ke bahut baDe nabbaz
karwan kar-gah-e-hikmat ke
lal ek madan-e-mohabbat ke
talaba ke shafiq-o-yawar hain
bahr tahqiq ke shanawar hain
akmal-o-afazal-o-alim-o-KHatib
akram-o-azam-o-sharif-o-nahif
sahib-e-ifqra-o-banda-e-durwesh
doston ke baDe aqide kesh
un ke maslak mein be-riyai hai
un ki rindi mein parsai hai
nasr mein un ki nazm ki bu-bas
nazm ki intiha ke ramz-shanas
kis qadar aan-ban hai un ki
be-niyazana shan hai un ki
ab bhi chehre pe hai shabab ka nur
sar-basar ilm ki sharab ka nur
baat karne mein phul jhaDte hain
kabhi laDte na ye jhagaDte hain
ilm ki justuju pe jaan nisar
bahar-e-tahqiq roz-o-shab bedar
rah-e-tahqiq pe chale hain mudam
chhan Dale iraq-o-misr-o-sham
ghermany rus belgium london
har jagah dekhe ilm ke madan
karwan ilm ka hai tez KHiram
aur us ke amir malik-ram
sahab-e-ilm-o-sahab-e-iKHlaq
dosti mein ye fard KHalq mein taq
aashti aur ilm ka ek ganj
un se pahuncha nahin kisi ko ranj
ramz-dan hain ye fikr-e-ghaalib ke
hain musannif ye zikr-e-ghaalib ke
mohtaram dost arsh-e-farshi ke
hain murattab ye nazr-e-arshi ke
hain ba-har-rang aalimon ke habib
nazr-e-zakir unhon ne di tartib
arabi farsi ho ya urdu
un ki baaton mein sab ki hai KHushbu
un ki tasnif aurat aur islam
paegi dahr mein baqa-e-dawam
KHub likha talazima ka haal
KHandan-e-asad ka husn maqal
gul-e-rana hai nusKHa-e-artang
ye bhi ba-kaif hai gul-e-sad-rang
baratna bam ki armughan ba-daham
bas ghanimat ki qalb-o-jaan ba-daham
ilm ra dada az nazar-e-tamkin
rahnuma-e-ba-rah-e-ilm-o-yaqin
zehn farKHanda maghz tabinda
baad dar shahr-e-ilm painda
ro raaz-e-hirs-o-az-o-tama-o-hawas
nek-KHu nek-qalb-o-nek-nafs
sahhr-e-na-murdaman-o-had-e-azad
bas hamein mard-ast KHush-atwar
mulk-e-mani ka baadshah hai ye
shahr-e-insha ka kaj-kulah hai ye
KHatm hai arsh ab dua pe kalam
ye rahen ba-murad-o-shad mudam
husn-e-sirat ki shama jalti rahe
shaKH-e-ummid aur phalti rahe
zindagi ko mile nashat tamam
pur hamesha rahe surur ka jam
nur-e-KHurshid ki tarah damke
ilm-o-tahqiq ki ziya chamke
ilm ki raushni baDhate rahen
hum ko bhi kuchh na kuchh sikhate rahen
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 403)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.