malum nahin kyun
yuuñ gardish-e-ayyām hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
rindoñ kā lahū aam hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
muflis hai to ik jins-e-faromāya hai lā-raib
muḳhlis hai to nākām hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
tohmat ke sazā-vār faqīhān-e-haram haiñ
mullā yahāñ badnām hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
ab ḳhuun ke dhabbe haiñ mudīroñ kī qabā par
ḳhāma dam-e-samsām hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
ḳhūn-e-rag-e-islām se zahrāb o subū tak
ib.hām hī ib.hām hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
har baat pe ta.azīr hai har qaul pe zanjīr!
har shāḳh pe ik daam hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
jamhūr kī yalġhār se har qasr-e-shahī meñ
kohrām hī kohrām hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
yun gardish-e-ayyam hai malum nahin kyun
rindon ka lahu aam hai malum nahin kyun
muflis hai to ek jins-e-faromaya hai la-raib
muKHlis hai to nakaam hai malum nahin kyun
tohmat ke saza-war faqihan-e-haram hain
mulla yahan badnam hai malum nahin kyun
ab KHun ke dhabbe hain mudiron ki qaba par
KHama dam-e-samsam hai malum nahin kyun
KHun-e-rag-e-islam se zahrab o subu tak
ibham hi ibham hai malum nahin kyun
har baat pe tazir hai har qaul pe zanjir!
har shaKH pe ek dam hai malum nahin kyun
jamhur ki yalghaar se har qasr-e-shahi mein
kohram hi kohram hai malum nahin kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.