Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mama ji ka rocket

Sahir Ludhianvi

mama ji ka rocket

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    maamā ke rocket par ham chāñd sair ko jā.eñge

    vahāñ ke bachchoñ se mil-jul kar duudh malā.ī khā.eñge

    diidī saath na jā.egī to kaun tumheñ bahalā.egā

    kaun karegā kanghī paTTī kapḌe kaun pahnā.egā

    huā karegī kanghī paTTī aur bādal nahlā.enge

    pariyāñ kapḌe pahnā.eñgī taare muñh dhulvā.enge

    maamā ke rocket par ham chāñd sair ko jā.eñge

    raat ko niiñd na aa.egī to lorī kaun sunā.egā

    ghoḌā ban kar kaun chalegā piiTh pe kaun biThā.egā

    ghoḌā banñā kyā mushkil hai ham ḳhud ban jā.eñge

    lorī terī chaal bahut hai baaje par bajvā.enge

    maamā ke rocket par ham chāñd sair ko jā.eñge

    kapḌoñ par gir jā.egā sālan khānā kaise khāoge

    diidī saath na ho to tum log kuchh bhī mazā na pāoge

    maamā rocket hai maamā jo farmā.eñge

    ham tum se va.ada karte haiñ diidī ko le jā.eñge

    achchhā ab tum yahīñ pe Thahro maiñ jaldī se jaatā huuñ

    apne pyāre maamā se pūchh ke vāpas aatā huuñ

    maamā ke rocket par ham chāñd sair ko jā.eñge

    mama ji ke rocket par hum chand ki sair ko jaenge

    wahan ke bachchon se mil-jul kar dudh malai khaenge

    didi sath na jaegi to kaun tumhein bahalaega

    kaun karega kanghi paTTi kapDe kaun pahnaega

    hua karegi kanghi paTTi aur baadal nahlaenge

    pariyan kapDe pahnaengi tare munh dhulwaenge

    mama ji ke rocket par hum chand ki sair ko jaenge

    raat ko nind na aaegi to lori kaun sunaega

    ghoDa ban kar kaun chalega piTh pe kaun biThaega

    ghoDa banna kya mushkil hai hum KHud hi ban jaenge

    lori teri chaal bahut hai baje par bajwaenge

    mama ji ke rocket par hum chand ki sair ko jaenge

    kapDon par gir jaega salan khana kaise khaoge

    didi sath na ho to tum log kuchh bhi maza na paoge

    mama ji ka rocket hai mama ji jo farmaenge

    hum tum se wada karte hain didi ko le jaenge

    achchha ab tum yahin pe Thahro main jaldi se jata hun

    apne pyare mama ji se puchh ke wapas aata hun

    mama ji ke rocket par hum chand ki sair ko jaenge

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now