Mamul
ek buḌhiyā shab ga.e dahlīz par baiThī huī
tak rahī hai apne iklaute javāñ bachche kī raah
so chukā saarā mohalla aur galī ke moḌ par
bujh chukā hai lamp bhī
sard tārīkī khaḌī hai jaise dīvār-e-muhīb
būḌhī maañ ke jism ke andar magar
jagmagātī haiñ hazāroñ mish.aleñ
aane vaalā laakh behoshī kī hālat meñ ho
lekin
rāsta ghar kā kabhī bhūlā nahīñ
aur be-āhaT saḌak
jāntī hai
kis ke qadmoñ se abhī mahrūm huuñ
ek buDhiya shab gae dahliz par baiThi hui
tak rahi hai apne iklaute jawan bachche ki rah
so chuka sara mohalla aur gali ke moD par
bujh chuka hai lamp bhi
sard tariki khaDi hai jaise diwar-e-muhib
buDhi man ke jism ke andar magar
jagmagati hain hazaron mishalen
aane wala lakh behoshi ki haalat mein ho
lekin
rasta ghar ka kabhi bhula nahin
aur be-ahaT saDak
jaanti hai
kis ke qadmon se abhi mahrum hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.