mamul
yuuñ to ūñche ūñche parbat
gahre niile āsmān par dūdhiyā bādal
jhīleñ jal-thal
bhīgī raat havā kī ḳhunkī
aur mire jangal kī mastī
saare hī manzar achchhe the
rāhoñ meñ tāroñ kī dhanak thī
phūloñ meñ bharpūr mahak thī
ham tum the aur mast fazā.eñ
vahīñ pe jī chāhā kho jaa.eñ
lekin phir ik soch ye ubhrī
phuul khilānā chāñd sajānā
raat kā laanā din lauTāna
jangal ko sarsabz banānā
fitrat kā bharpūr amal hai
aur jab ye qānūn aTal hai
ham apnī hastī ke sabab ko
kyoñ ki ab tak jaan na paa.e
ye sochā aur ham lauT aa.e
yun to unche unche parbat
gahre nile aasman par dudhiya baadal
jhilen jal-thal
bhigi raat hawa ki KHunki
aur mere jangal ki masti
sare hi manzar achchhe the
rahon mein taron ki dhanak thi
phulon mein bharpur mahak thi
hum tum the aur mast fazaen
wahin pe ji chaha kho jaen
lekin phir ek soch ye ubhri
phul khilana chand sajaana
raat ka lana din lauTana
jangal ko sarsabz banana
fitrat ka bharpur amal hai
aur jab ye qanun aTal hai
hum apni hasti ke sabab ko
kyon ki ab tak jaan na pae
ye socha aur hum lauT aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.