man
ab bhī jab
gardish-e-ayyām se
ghabrātā huuñ
bhāgā bhāgā
tire kamre meñ
chalā aatā huuñ
sar jhukā kar
tirī tasvīr ke aage
chup-chāp
pahroñ baiThā huā
bachche kī tarah
jaane kyā
sochtā rahtā huuñ
phir aisā gumāñ hotā hai
haath shafqat se
kisī ne mire sar par rakkhā
dekhtā huuñ to ḳhushī
chehre pe chhā jaatī hai
maañ mire vāste
jannat se chalī aatī hai
ab bhi jab
gardish-e-ayyam se
ghabraata hun
bhaga bhaga
tere kamre mein
chala aata hun
sar jhuka kar
teri taswir ke aage
chup-chap
pahron baiTha hua
bachche ki tarah
jaane kya
sochta rahta hun
phir aisa guman hota hai
hath shafqat se
kisi ne mere sar par rakkha
dekhta hun to KHushi
chehre pe chha jati hai
man mere waste
jannat se chali aati hai
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 113)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.