man
bahut saal pahle
maiñ ik bhīgtī raat meñ
āḳhirī show se lauTā to dahlīz par merī maañ
āhaToñ se gulū-gīr āvāz meñ pūchhtī thī
kahīñ mere bachche ko dekhā hai bhaa.ī
mujhe yaad hai us ke chehre pe ġhussa nahīñ thā
na hoñToñ pe harf-e-malāmat na shikva
vo chup-chāp mujh se lipaT kar
bahut der tak roī thī
balāoñ ke sāgar meñ Duubī huī raat hai
bād-o-bārāñ ke tūfān se
dev-qāmat daraḳhtoñ ne apnī jaḌeñ chhoḌ dī haiñ
havā jaise bijlī ke tāroñ se uljhī huī
maut kī rāgnī gā rahī hai
bahut duur se aa rahā huuñ
bahut der tak bhīgne se badan kāñptā hai
mire ghar kī dahlīz ḳhāmosh hai
aur vo āñkheñ
jo mere liye jāgtī thiiñ
yahāñ se bahut duur peḌoñ ke saa.e tale so rahī haiñ
bahut sal pahle
main ek bhigti raat mein
aaKHiri show se lauTa to dahliz par meri man
aahaTon se gulu-gir aawaz mein puchhti thi
kahin mere bachche ko dekha hai bhai
mujhe yaad hai us ke chehre pe ghussa nahin tha
na honTon pe harf-e-malamat na shikwa
wo chup-chap mujh se lipaT kar
bahut der tak roi thi
balaon ke sagar mein Dubi hui raat hai
baad-o-baran ke tufan se
dew-qamat daraKHton ne apni jaDen chhoD di hain
hawa jaise bijli ke taron se uljhi hui
maut ki ragni ga rahi hai
bahut dur se aa raha hun
bahut der tak bhigne se badan kanpta hai
mere ghar ki dahliz KHamosh hai
aur wo aankhen
jo mere liye jagti thin
yahan se bahut dur peDon ke sae tale so rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.