man jai
zindagī ke udaas lamhoñ meñ huuñ maiñ
jab kabhī
e'tibār ke rishte
kirchī kirchī bikharne lagte haiñ
dil pe jab bhī
ḳharāsh paḌtī hai
tab añdherā
vujūd par taarī
aur tanhā.ī saañs letī hai
DhūñDhtā huuñ kisī
sahāre ko
phir shafaq jaisā
ḳhvāb sā chehra
merī āñkhoñ ke sāmne aayā
jis kī uñglī pakaḌ ke sīkhā thā
maiñ ne chalnā zamīñ ke siine par
aur vo āñgan ki jo mohabbat kā
aur chāhat kā isti'āra thā
aur maañ kī 'azīm hastī ne
apne ḳhuuñ se jise nikhārā thā
maañ kā ne'mul-badal nahīñ koī
ye to ik barmalā haqīqat hai
hai magar ye bhī sach mire yaaro
maañ nazar aa.ī mujh ko bahnoñ meñ
zindagi ke udas lamhon mein hun main
jab kabhi
e'tibar ke rishte
kirchi kirchi bikharne lagte hain
dil pe jab bhi
KHarash paDti hai
tab andhera
wujud par tari
aur tanhai sans leti hai
DhunDhta hun kisi
sahaare ko
phir shafaq jaisa
KHwab sa chehra
meri aankhon ke samne aaya
jis ki ungli pakaD ke sikha tha
main ne chalna zamin ke sine par
aur wo aangan ki jo mohabbat ka
aur chahat ka isti'ara tha
aur man ki 'azim hasti ne
apne KHun se jise nikhaara tha
man ka ne'mul-badal nahin koi
ye to ek barmala haqiqat hai
hai magar ye bhi sach mere yaro
man nazar aai mujh ko bahnon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.