man
jab bhī kabhī jannat ko tasavvur meñ basāyā
ai maañ mirī ḳhud ko tire qadmoñ meñ hī paayā
duniyā ke kisī peḌ kī chhāñv meñ nahīñ hai
jo mujh ko atā kartā hai ThanDak tirā saaya
us rab kā adā shukr bhalā kyoñ na karūñ maiñ
jis ne tirī sūrat meñ hī jannat ko dikhāyā
dhartī pe maiñ ab is liye pairoñ pe khaḌā huuñ
maiñ chalte hue jab bhī girā tū ne uThāyā
yuuñ hī to nahīñ guzrā ye jhoñkā mujhe chhūkar
'ḳhālid' mujhe lagtā hai mirī maañ ne bulāyā
jab bhi kabhi jannat ko tasawwur mein basaya
ai man meri KHud ko tere qadmon mein hi paya
duniya ke kisi peD ki chhanw mein nahin hai
jo mujh ko ata karta hai ThanDak tera saya
us rab ka ada shukr bhala kyon na karun main
jis ne teri surat mein hi jannat ko dikhaya
dharti pe main ab is liye pairon pe khaDa hun
main chalte hue jab bhi gira tu ne uThaya
yun hi to nahin guzra ye jhonka mujhe chhukar
'KHalid' mujhe lagta hai meri man ne bulaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.