man ji
kaise pukārūñ ki merī pukār kā javāb aa.e
samā.ateñ banjar
aur sadā beva ho ga.ī
muddat huī
aap kī āvāz ko is taraf
aur merī sadā aap tak pahuñche
merī to halkī sī aahaT bhī sun letī thiiñ
ab siskiyoñ kī āvāz nahīñ suntīñ
maiñ thak jaatī
to aap kī god
fauran thakan kā ehsās tak jazb kar letī thī
saare zamāne ke phuul aur itr
mil kar bhī
aap kī ḳhushbū nahīñ banā sake
maañ jī
aap jāntī thiiñ na
beTiyāñ maañ ke baġhair adhūrī hotī haiñ
aur aap mujhe adhūrā kar ga.iiñ
aap ko pata hai
maiñ baabā jaan ke saath jahāñ bhī jā.ūñ
ab
koī safar mukammal nahīñ hotā
maiñ chāhūñ bhī to
aap ke baġhair mukammal nahīñ ho paatī
maañ jī
jab aap ne āḳhirī baar mujhe kahā thā
beTā sab kuchh tere havāle
to jāntī haiñ
usī lamhe merī kul kā.enāt luT ga.ī
vo shaam phir shām-e-ġharībāñ banī
aap kī sauñpī tamām zimmedāriyāñ adā kar rahī huuñ
lekin
suniye na maañ jī
ye thakan kaise utregī
terī god kā nemul-badal banānā
ḳhudā kī mashiyyat meñ na thā
kaise pukarun ki meri pukar ka jawab aae
samaaten banjar
aur sada bewa ho gai
muddat hui
aap ki aawaz ko is taraf
aur meri sada aap tak pahunche
meri to halki si aahaT bhi sun leti thin
ab siskiyon ki aawaz nahin suntin
main thak jati
to aap ki god
fauran thakan ka ehsas tak jazb kar leti thi
sare zamane ke phul aur itr
mil kar bhi
aap ki KHushbu nahin bana sake
man ji
aap jaanti thin na
beTiyan man ke baghair adhuri hoti hain
aur aap mujhe adhura kar gain
aap ko pata hai
main baba jaan ke sath jahan bhi jaun
ab
koi safar mukammal nahin hota
main chahun bhi to
aap ke baghair mukammal nahin ho pati
man ji
jab aap ne aaKHiri bar mujhe kaha tha
beTa sab kuchh tere hawale
to jaanti hain
usi lamhe meri kul kaenat luT gai
wo sham phir sham-e-ghariban bani
aap ki saunpi tamam zimmedariyan ada kar rahi hun
lekin
suniye na man ji
ye thakan kaise utregi
teri god ka nemul-badal banana
KHuda ki mashiyyat mein na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.