man ka haq
sochtā huuñ apnī maañ kā haq adā kaise karūñ
merī izzat merī azmat kā sabab hai merī maañ
merī ne.amat merī daulat hai vahī ik mehrbāñ
bā.is-e-rahmat hai vo mere liye jannat-nishāñ
kyoñ na phir jī jaan se us zaat kī ḳhidmat karūñ
merī paidā.ish pe taklīfeñ uThā.īñ be-shumār
maiñ huā bhūkā to duudh apnā pilāyā baar baar
mujh ko siine se lagā kar hī use miltā qarār
vo sarāpā māmtā hai aur us ko kyā kahūñ
din ko din us ne na samjhā aur na samjhā shab ko shab
merī bīmārī meñ us kā haal ho jaatā ajab
vo duā kar ke davā kar ke bhī Dartī be-sabab
chhīn letī merī bīmārī ġharaz sabr-o-sukūñ
maiñ sharārat bhī agar kartā to vo kartī thī pyaar
maiñ satātā bhī to vo kartī thī jaañ mujh par nisār
al-ġharaz thī mere dam se ziist us kī pur-bahār
us kī ulfat us kī shafqat kā bayāñ maiñ kyā karūñ
sāya-e-shafqat meñ us ke ho gayā ab maiñ baḌā
ab samajh saktā huuñ apne haq meñ achchhā aur burā
jāntā huuñ ḳhuub maiñ farmāñ rasūlullāh kā
maiñ sivā.e kufr ke har hukm us kā maan luuñ
ai ḳhudā-e-do-jahāñ ai mālik-e-roz-e-jazā
haq adā kartā rahūñ māñ-bāp kā ahbāb kā
dūsroñ ko bhī mirī jaisī sa.ādat kar atā
maiñ ki 'sāhil' garche terā banda-e-nāchīz huuñ
sochtā huuñ apnī maañ kā haq adā kaise karūñ
sochta hun apni man ka haq ada kaise karun
meri izzat meri azmat ka sabab hai meri man
meri neamat meri daulat hai wahi ek mehrban
bais-e-rahmat hai wo mere liye jannat-nishan
kyon na phir ji jaan se us zat ki KHidmat karun
meri paidaish pe taklifen uThain be-shumar
main hua bhuka to dudh apna pilaya bar bar
mujh ko sine se laga kar hi use milta qarar
wo sarapa mamta hai aur us ko kya kahun
din ko din us ne na samjha aur na samjha shab ko shab
meri bimari mein us ka haal ho jata ajab
wo dua kar ke dawa kar ke bhi Darti be-sabab
chhin leti meri bimari gharaz sabr-o-sukun
main shararat bhi agar karta to wo karti thi pyar
main satata bhi to wo karti thi jaan mujh par nisar
al-gharaz thi mere dam se zist us ki pur-bahaar
us ki ulfat us ki shafqat ka bayan main kya karun
saya-e-shafqat mein us ke ho gaya ab main baDa
ab samajh sakta hun apne haq mein achchha aur bura
jaanta hun KHub main farman rasulullah ka
main siwae kufr ke har hukm us ka man lun
ai KHuda-e-do-jahan ai malik-e-roz-e-jaza
haq ada karta rahun man-bap ka ahbab ka
dusron ko bhi meri jaisi saadat kar ata
main ki 'sahil' garche tera banda-e-nachiz hun
sochta hun apni man ka haq ada kaise karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.