man kabhi marti nahin hai
kalām-e-haidarī kī nazr
maañ kabhī martī nahīñ hai
ḳhuun hai vo
jism kī rag rag meñ har dam maujzan hai
raushnī is ke laboñ kī
is ke beToñ
aur phir beToñ ke beTiyoñ ke
shagufta-āriz-o-lab se hamesha phūTtī hai
raushnī kā ye safar ruktā nahīñ hai
bhaa.ī mere
is qadar jal thal na ho to
qabr kī namnāk miTTī se ubhartī
ek bhar aa.ī huī āvāz san le
mere beTe kyā huā jo maiñ nahīñ huuñ
terī maañ ye sarzamīñ hindostāñ hai
terī maañ pyārī zabāñ urdu zabāñ hai
in kī ḳhidmat meñ nihāñ izzat hai terī
in ke qadmoñ ke tale jannat hai terī
kalam-e-haidari ki nazr
man kabhi marti nahin hai
KHun hai wo
jism ki rag rag mein har dam maujzan hai
raushni is ke labon ki
is ke beTon
aur phir beTon ke beTiyon ke
shagufta-ariz-o-lab se hamesha phuTti hai
raushni ka ye safar rukta nahin hai
bhai mere
is qadar jal thal na ho to
qabr ki namnak miTTi se ubharti
ek bhar aai hui aawaz san le
mere beTe kya hua jo main nahin hun
teri man ye sarzamin hindostan hai
teri man pyari zaban urdu zaban hai
in ki KHidmat mein nihan izzat hai teri
in ke qadmon ke tale jannat hai teri
- Book : Roshan waraq waraq (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.