man ki mohabbat
ek āshiq bā-vafā aur ek mahbūba hasīñ
kar rahe haiñ donoñ bāham guftugū-e-dil-nashīñ
kah rahā hai āshiq-e-sādiq ba-sad ranj-o-malāl
maiñ tumhārā ho gayā huuñ chhoḌ kar duniyā-o-dīñ
sar na uTThā aaj tak apnā ye hai shān-e-niyāz
muddatoñ se hai tumhārā āstāñ merī jabīñ
ho ga.e haiñ sab judā allāh rī ye bekasī
koī hamdam hai na koī ġham-gusār-o-ham-nashīñ
phir hamesha ke liye ḳhāmosh ho jā.ūñgā maiñ
aur kuchh din gar yahī be-mehriyāñ mujh se rahīñ
ik nigāh-e-lutf se mahrūm rakkhā hai mujhe
is se baḌh kar aur tauhīn-e-vafā mumkin nahīñ
aaj duniyā meñ nahīñ tum sā sitamgar mast-e-nāz
har irāda ranj-dah har aarzū zulm-āfrīñ
dāstān-e-ranj-o-ġham jab sun chukī vo nāznīñ
naaz se bolī ki ye sab sach hai haañ ai nukta-chīñ
āḳhirī ik imtihāñ hai is se ye sābit karo
ham se baḌh kar koī duniyā meñ tumheñ pyārā nahīñ
apnī maañ kā dil jo tum lāoge siina chiir kar
aa.egā us vaqt ham ko aisī bātoñ kā yaqīñ
ho gayā ḳhāmosh āshiq sun ke ye hukm-e-ajīb
ghar ko pahuñchā muztarib bā-chashm-e-tar andohgīñ
maañ kī ulfat par huī ġhālib mohabbat yaar kī
vo kiyā us ne jo duniyā meñ koī kartā nahīñ
le ke dil aur laash maañ kī chhoḌ kar jab vo chalā
kaañp uThī saarī zamīñ tharrā gayā charḳh-e-barīñ
ittifāqan us ko ghabrāhaT meñ ik Thokar lagī
gir paḌā behosh ho kar āshiq-e-sādiq vahīñ
qalb-e-mādar se taḌap kar ye sadā niklī 'shamīm'
maiñ tire qurbān beTā choT to aa.ī nahīñ
ek aashiq ba-wafa aur ek mahbuba hasin
kar rahe hain donon baham guftugu-e-dil-nashin
kah raha hai aashiq-e-sadiq ba-sad ranj-o-malal
main tumhaara ho gaya hun chhoD kar duniya-o-din
sar na uTTha aaj tak apna ye hai shan-e-niyaz
muddaton se hai tumhaara aastan meri jabin
ho gae hain sab juda allah ri ye bekasi
koi hamdam hai na koi gham-gusar-o-ham-nashin
phir hamesha ke liye KHamosh ho jaunga main
aur kuchh din gar yahi be-mehriyan mujh se rahin
ek nigah-e-lutf se mahrum rakkha hai mujhe
is se baDh kar aur tauhin-e-wafa mumkin nahin
aaj duniya mein nahin tum sa sitamgar mast-e-naz
har irada ranj-dah har aarzu zulm-afrin
dastan-e-ranj-o-gham jab sun chuki wo naznin
naz se boli ki ye sab sach hai han ai nukta-chin
aaKHiri ek imtihan hai is se ye sabit karo
hum se baDh kar koi duniya mein tumhein pyara nahin
apni man ka dil jo tum laoge sina chir kar
aaega us waqt hum ko aisi baaton ka yaqin
ho gaya KHamosh aashiq sun ke ye hukm-e-ajib
ghar ko pahuncha muztarib ba-chashm-e-tar andohgin
man ki ulfat par hui ghaalib mohabbat yar ki
wo kiya us ne jo duniya mein koi karta nahin
le ke dil aur lash man ki chhoD kar jab wo chala
kanp uThi sari zamin tharra gaya charKH-e-barin
ittifaqan us ko ghabrahaT mein ek Thokar lagi
gir paDa behosh ho kar aashiq-e-sadiq wahin
qalb-e-madar se taDap kar ye sada nikli 'shamim'
main tere qurban beTa choT to aai nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.