man
mere paas nahīñ hai kuchh bhī
sard havāoñ se bachne ko
nange fōTpāthoñ par nangā
apne badan ko oḌh ke leTā
soch rahā huuñ
jaane in ThiThurī rātoñ meñ
jāgtī āñkhoñ kī māyūsī
sub.h kā
sūraj bhī dekhegī
yā mujh jaise beToñ kī maa.eñ
duur kahīñ
sote sote uchhal paḌeñgī
aur ro.eñgī
mere pas nahin hai kuchh bhi
sard hawaon se bachne ko
nange fooTpathon par nanga
apne badan ko oDh ke leTa
soch raha hun
jaane in ThiThuri raaton mein
jagti aankhon ki mayusi
subh ka
suraj bhi dekhegi
ya mujh jaise beTon ki maen
dur kahin
sote sote uchhal paDengi
aur roengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.