man
mire ThanDe badan ko aañch dī hai apne siine kī
mire sūkhe laboñ ko apne hoñToñ kī namī dī hai
mirī sāñsoñ ko apnī dhaḌkanoñ kī rāgnī dī hai
tirā maqrūz huuñ maiñ
na soyā farsh par to māmtā kā ban ga.ī bistar
kabhī barsāt meñ Tapkā purāne phūñs kā chhappar
mujhe bāñhoñ meñ apnī kas liyā aur bichh ga.ī mujh par
mirī tanhā.iyoñ ko loriyoñ se gudgudāyā hai
mire ashkoñ ko tū ne apnī palkoñ par uThāyā hai
kahīñ tab jā ke ye ma.asūm bachpan muskurāyā hai
tirī unglī pakaḌ kar dopahar kī dhuup meñ aksar
phirā huuñ nange paañv aur apnī be-kasī dekhī
tirī āñkhoñ meñ lekin zindagī kī raushnī dekhī
mirī ḳhātir uThā.e haiñ musalsal bār-e-ġham tū ne
mirī ḳhātir zamāne bhar kī tū ne ḳhaak chhānī hai
mirī ḳhātir añdheroñ se kiran kī bhiik māñgī hai
tirā maqrūz huuñ maiñ zindagī ab terī ḳhātir hai
jo kal guzrā vo aañsū thā use āñkhoñ se Tapkā de
naved-e-sub.h-e-hastī huuñ mire māthe pe bosa de
tirā maqrūz huuñ maiñ
mere ThanDe badan ko aanch di hai apne sine ki
mere sukhe labon ko apne honTon ki nami di hai
meri sanson ko apni dhaDkanon ki ragni di hai
tera maqruz hun main
na soya farsh par to mamta ka ban gai bistar
kabhi barsat mein Tapka purane phuns ka chhappar
mujhe banhon mein apni kas liya aur bichh gai mujh par
meri tanhaiyon ko loriyon se gudgudaya hai
mere ashkon ko tu ne apni palkon par uThaya hai
kahin tab ja ke ye masum bachpan muskuraya hai
teri ungli pakaD kar dopahar ki dhup mein aksar
phira hun nange panw aur apni be-kasi dekhi
teri aankhon mein lekin zindagi ki raushni dekhi
meri KHatir uThae hain musalsal bar-e-gham tu ne
meri KHatir zamane bhar ki tu ne KHak chhani hai
meri KHatir andheron se kiran ki bhik mangi hai
tera maqruz hun main zindagi ab teri KHatir hai
jo kal guzra wo aansu tha use aankhon se Tapka de
nawed-e-subh-e-hasti hun mere mathe pe bosa de
tera maqruz hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.