man
mirī maañ jab talak tum thiiñ
to merī ḳhvāhishoñ ke phuul
har dam muskurāte the
ġhamoñ kī bārishoñ meñ bhī
vo har dam lahlahāte the
maiñ tum se duur rahtā thā bahut majbūr rahtā thā
ġhamoñ se chuur hotā thā
magar dil ko tasallī thī ki u s tum bhī aaogī
duāoñ ke jo gul-daste vahāñ se bhejtī thiiñ tum
vo apne saath lāogī
tum aa.iiñ to mire sote muqaddar jaag jā.eñge
meri man jab talak tum thin
to meri KHwahishon ke phul
har dam muskuraate the
ghamon ki barishon mein bhi
wo har dam lahlahate the
main tum se dur rahta tha bahut majbur rahta tha
ghamon se chur hota tha
magar dil ko tasalli thi ki u s tum bhi aaogi
duaon ke jo gul-daste wahan se bhejti thin tum
wo apne sath laogi
tum aain to mere sote muqaddar jag jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.