man-sarowar
barsoñ guzre
kisī jhiil meñ pañkh Dubo.e hue
sadiyāñ bītīñ
sar-e-sāhil baañh pasāre hue
vo mān-sarovar
jis meñ sahar kī halkī mīThī dhuup bhī hai
peḌoñ kā ghanerā saaya bhī
aur qul-qul kartī ḳhāmoshī
vo jis kī rāheñ durgam sī
ye hañs use pā jaa.e agar
sab gard vahīñ dho aa.egā
sab dard Dubo aa.egā vahīñ
vo jis kī tamannā meñ din din
ye pañkh bikharte jaate haiñ
ye saañs ulajhtī rahtī hai
barson guzre
kisi jhil mein pankh Duboe hue
sadiyan bitin
sar-e-sahil banh pasare hue
wo man-sarowar
jis mein sahar ki halki miThi dhup bhi hai
peDon ka ghanera saya bhi
aur qul-qul karti KHamoshi
wo jis ki rahen durgam si
ye hans use pa jae agar
sab gard wahin dho aaega
sab dard Dubo aaega wahin
wo jis ki tamanna mein din din
ye pankh bikharte jate hain
ye sans ulajhti rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.