man
zindagī ik dhuup hai aur tū mirī chhāñv hai maañ
kulfatoñ kī shab meñ sham' hai to bas terī du'ā
maiñ to so jaatī huuñ gahrī niiñd meñ ārām se
nīm-shab meñ jā ke sajde meñ tū jab kartī du'ā
zindagī kā jo hunar sīkhā hai ham ne aaj tak
kaam merā kuchh nahīñ hai bas ye sab terī 'atā
bhāñp letī hai havā kā ruḳh tū kitnī duur se
vaqt-e-mushkil hai mirā hotī hai tū dil-āshnā
aaj tak koī samajh paayā nahīñ is raaz ko
haal bachchoñ ke diloñ kā hai tujhe kyūñkar pata
hai du'ā 'nāhīd' bas itnī sī maañ kī shaan meñ
ho sadā sāya-fagan āñchal tirā shafqat-bharā
zindagi ek dhup hai aur tu meri chhanw hai man
kulfaton ki shab mein sham' hai to bas teri du'a
main to so jati hun gahri nind mein aaram se
nim-shab mein ja ke sajde mein tu jab karti du'a
zindagi ka jo hunar sikha hai hum ne aaj tak
kaam mera kuchh nahin hai bas ye sab teri 'ata
bhanp leti hai hawa ka ruKH tu kitni dur se
waqt-e-mushkil hai mera hoti hai tu dil-ashna
aaj tak koi samajh paya nahin is raaz ko
haal bachchon ke dilon ka hai tujhe kyunkar pata
hai du'a 'nahid' bas itni si man ki shan mein
ho sada saya-fagan aanchal tera shafqat-bhara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.