mara
husn kī āb-o-tāb ne maarā
be-gunah is savāb ne maarā
haa.e afsos is buḌhāpe meñ
tere kāfir shabāb ne maarā
dil phañsā hai ajiib uljhan meñ
zulf ke pech-o-tāb ne maarā
vaise merā savāl sīdhā thā
tere ulTe javāb ne maarā
us ne hī mujh ko intiḳhāb kiyā
nigah-e-intiḳhāb ne maarā
ittifāqan jo ho ga.ī ulfat
nā-gahānī azaab ne maarā
vo javāboñ pe de rahe haiñ javāb
is javāb-ul-javāb ne maarā
jang aur jang bhī girānī kī
is double inqalāb ne maarā
peT meñ aañt aur na muñh meñ daañt
phir bhī zālim ḳhizāb ne maarā
ab junūñ kī ho kis tarah takmīl
nā-mukammal shabāb ne maarā
ishq bechārgī ke haal meñ hai
husn ke ro.ab-o-dāb ne maarā
rang kaalā hai gul-badan hai magar
aise kaale gulāb ne maarā
tū hī kah kyoñ na merā dam ghuTtā
tere bejā hijāb ne maarā
zindagī talḳh ho ga.ī hai 'zarīf'
is jahān-e-ḳharāb ne maarā
husn ki aab-o-tab ne mara
be-gunah is sawab ne mara
hae afsos is buDhape mein
tere kafir shabab ne mara
dil phansa hai ajib uljhan mein
zulf ke pech-o-tab ne mara
waise mera sawal sidha tha
tere ulTe jawab ne mara
us ne hi mujh ko intiKHab kiya
nigah-e-intiKHab ne mara
ittifaqan jo ho gai ulfat
na-gahani azab ne mara
wo jawabon pe de rahe hain jawab
is jawab-ul-jawab ne mara
jang aur jang bhi girani ki
is double inqalab ne mara
peT mein aant aur na munh mein dant
phir bhi zalim KHizab ne mara
ab junun ki ho kis tarah takmil
na-mukammal shabab ne mara
ishq bechaargi ke haal mein hai
husn ke roab-o-dab ne mara
rang kala hai gul-badan hai magar
aise kale gulab ne mara
tu hi kah kyon na mera dam ghuTta
tere beja hijab ne mara
zindagi talKH ho gai hai 'zarif'
is jahan-e-KHarab ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.