mas ki aurat
vo hāmilīn pasliyāñ
jo aadmī ke kankāl ko
naav banā kar
khenā chāhtī haiñ aaj
bād-e-muḳhālif ke bar-aks
mauj-e-havādis ke ḳhilāf
apne mafād meñ
to is meñ
kyā hai un kā qusūr
tanhā.ī se jo achānak
ghabrā ga.e the hazrat-e-ādam
bas isī baat kā saarā fasāna
saarā futūr
phir to paslī-e-ādam se
numū-pazīr huā vajūd-e-zan
isī vajūd-e-zan se paḌā
shayātīn meñ ran
hattā ki
gandum khā lene kī pādāsh meñ
bāġh-e-bahisht ke makīñ
aa ga.e zer-e-zamīñ
gardish-e-falak kī zad meñ
idhar
shajar-e-mamnūa kā phal chakhne ke sabab
tauba karte rahe hazrat-e-ādam
aur bahāte rahe tamām umr
apne ashk-e-infi.āl
ab jo fazā badlī hai achānak
to.....
un hī hāmilīn pasliyoñ ne
gandum kī tarġhīb ko bhuul ke
masāvī haq kā
uThāyā hai savāl
to is meñ
kyā hai in kā qusūr
tanhā.ī se jo achānak
ghabrā ga.e the hazrat-e-ādam
bas isī baat kā hai saarā fasāna
saarā futūr
faisla
tab bhī aadmī ke haath meñ thā
faisla ab bhī hai
aadmī ke haath meñ
aayā parastish kare yā huqūq-e-musāviyāna de
aur jise chāhe baḌh kar apnā le
ek taraf
narm garm maas kī aurat hai
to dūsrī taraf hai
jannat kī huur
wo hamilin pasliyan
jo aadmi ke kankal ko
naw bana kar
khena chahti hain aaj
baad-e-muKHalif ke bar-aks
mauj-e-hawadis ke KHilaf
apne mafad mein
to is mein
kya hai un ka qusur
tanhai se jo achanak
ghabra gae the hazrat-e-adam
bas isi baat ka sara fasana
sara futur
phir to pasli-e-adam se
numu-pazir hua wajud-e-zan
isi wajud-e-zan se paDa
shayatin mein ran
hatta ki
gandum kha lene ki padash mein
bagh-e-bahisht ke makin
aa gae zer-e-zamin
gardish-e-falak ki zad mein
idhar
shajar-e-mamnua ka phal chakhne ke sabab
tauba karte rahe hazrat-e-adam
aur bahate rahe tamam umr
apne ashk-e-infial
ab jo faza badli hai achanak
to
un hi hamilin pasliyon ne
gandum ki targhib ko bhul ke
masawi haq ka
uThaya hai sawal
to is mein
kya hai in ka qusur
tanhai se jo achanak
ghabra gae the hazrat-e-adam
bas isi baat ka hai sara fasana
sara futur
faisla
tab bhi aadmi ke hath mein tha
faisla ab bhi hai
aadmi ke hath mein
aaya parastish kare ya huquq-e-musawiyana de
aur jise chahe baDh kar apna le
ek taraf
narm garm mas ki aurat hai
to dusri taraf hai
jannat ki hur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.