masumiyat
maiñ ne pūchhā ye raat guDDū se
chāñd par mere saath jāoge
soch kar thoḌī der vo bolā
chāñd par koī jā nahīñ saktā
maiñ ye bolā ki a mire beTe
chāñd par chand log ho aa.e
niil thā pahlā shaḳhs duniyā kā
chāñd par jis ne pair rakhā thā
aur bhī log ho ke aa.e haiñ
kuchh namūne bhī saath laa.e haiñ
mujh se kahne lagā nahīñ paapā
chāñd par meñ kabhī na jā.ūñgā
maiñ ne pūchhā ki ai mire beTe
chāñd par kis liye na jāoge
mujh se ma.asūmiyat se vo bolā
gir gayā jo vahāñ se kyā hogā
main ne puchha ye raat guDDu se
chand par mere sath jaoge
soch kar thoDi der wo bola
chand par koi ja nahin sakta
main ye bola ki a mere beTe
chand par chand log ho aae
nil tha pahla shaKHs duniya ka
chand par jis ne pair rakha tha
aur bhi log ho ke aae hain
kuchh namune bhi sath lae hain
mujh se kahne laga nahin papa
chand par mein kabhi na jaunga
main ne puchha ki ai mere beTe
chand par kis liye na jaoge
mujh se masumiyat se wo bola
gir gaya jo wahan se kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.