masumiyat
hamāre yahāñ bachche ko
jo abhī puurī tarah khaḌā honā bhī na sīkhā ho
pistol haath meñ de dī jaatī hai
do chaar baar use zamīn par girā kar
use pistol sambhālnā
aur phir haat ko zarā sī jumbish se
use uñgliyoñ ke darmiyān
phir kī kī tarah bhī aa jaatā hai
laḌakpan phalāñgne se pahle
use do ek aadmī girānā hote haiñ
baḌe hone par us ke hāthoñ meñ
aslī bandūq
yā machine-gun thamā dī jaatī hai
ab us se tavaqqo kī jaatī hai
ki vo do ek afrād ko girāne par iktifā nahīñ karegā
balki ka.ī insānoñ ke ḳhuun se
apne haath rañgegā
mujhe e'tirāf hai
hamāre yahāñ
sab log aisā nahīñ kar paate
kuchh to khilaunā pistol hī se
apnī nā-puḳhta umr meñ
ḳhud ko halāk kar lete haiñ
kuchh aise bhī haiñ
jo sach-much kī pistol ko bhī
khilaunā hī samajhte haiñ
is liye unheñ
is liye licence ki zarūrat bhī mahsūs nahīñ hotī
jinheñ vo halāk karte haiñ
aksar un meñ us ke qarībī dost
yā azīz-o-aqārib hote haiñ
unheñ halāk karne ke baad
ye dekh kar vo hairān rah jaate haiñ
ki un ke hāthoñ meñ
sach-much kī pistol aa kaise ga.ī
aur vo kab se
kisī ke nishāne par the
hamare yahan bachche ko
jo abhi puri tarah khaDa hona bhi na sikha ho
pistol hath mein de di jati hai
do chaar bar use zamin par gira kar
use pistol sambhaalna
aur phir hat ko zara si jumbish se
use ungliyon ke darmiyan
phir ki ki tarah bhi aa jata hai
laDakpan phalangne se pahle
use do ek aadmi girana hote hain
baDe hone par us ke hathon mein
asli banduq
ya machine-gun thama di jati hai
ab us se tawaqqo ki jati hai
ki wo do ek afrad ko girane par iktifa nahin karega
balki kai insanon ke KHun se
apne hath rangega
mujhe e'tiraf hai
hamare yahan
sab log aisa nahin kar pate
kuchh to khilauna pistol hi se
apni na-puKHta umr mein
KHud ko halak kar lete hain
kuchh aise bhi hain
jo sach-much ki pistol ko bhi
khilauna hi samajhte hain
is liye unhen
is liye licence ki zarurat bhi mahsus nahin hoti
jinhen wo halak karte hain
aksar un mein us ke qaribi dost
ya aziz-o-aqarib hote hain
unhen halak karne ke baad
ye dekh kar wo hairan rah jate hain
ki un ke hathon mein
sach-much ki pistol aa kaise gai
aur wo kab se
kisi ke nishane par the
- Book : aaj (Pg. 356)
- Author : ajmal
- Publication : 316madiina maal ,abdullah haroon road sadar karachi-74400 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.