matam-e-nim-shab
jab maiñ aur tū niDhāl ho jaate haiñ
sāñseñ phūltī haiñ
o rahm pahle Dhīle aur phir sard paḌ jaate haiñ
aur hamāre chehre apnī aslī hālat par aa jaate haiñ
to be-iḳhtiyār sochtā huuñ
hamārā kyā hogā agar saath chhūT gayā
tumhārā kyā hogā mere baġhair
merā kyā hogā tere baġhair
maiñ to soch bhī nahīñ saktā
ki to mere jīte-jī mar jaa.e
aur na ye soch saktā huuñ
ki to kaise ro.egī
agar maiñ tum se pahle mar gayā
ham kitne be-bas aur akele haiñ
kyā ye mumkin nahīñ ki ham apnī jāneñ ik hī qālib meñ samo leñ
taaki man-o-tū kā jhagḌā hī miT jaa.e
ham ek hī shāḳh ke do phuul haiñ
hamārā mazāq aur mizāj ek hai
hamārā lutf-e-badan ek hai
hamārā sachchā man ek hai
to phir ham judā kyuuñ ho jaa.eñ
koī rāsta nahīñ kyā
koī chāra nahīñ kyā
aisī koī sūrat banā
ki ham do diloñ ko dhaḌaktā
aur dinoñ ko chamaktā rakh sakeñ
aur phir
maiñ shahr-dar-shahr jāgtā phirūñ
kūcha-o-bāzār meñ bhāgtā phirūñ
aur terī āvāz hamesha āsmāñ kī bulandiyoñ se
utartī rahe aur zamīn ko jagātī rahe
aur maiñ mohabbat ke sāgar par suroñ kī darshā karūñ
jism kitnā nahīf hai
aur ham is liye is qālib meñ Dhāle ga.e
ki fanā kī lazzat se āshnā ho jaa.eñ
maiñ maut ke baare meñ kuchh ziyāda hī sochtā huuñ
jab terī sāñseñ mere shānoñ par dastak nahīñ detīñ
to maiñ kaañp uThtā huuñ
maiñ maut ke sukūt se Dartā huuñ
magar vo ghaḌī aa.egī
jab ham meñ se ek pahle zamīn maiñ utregā
sausan ke safed aur kāsnī phūloñ kī chādar oḌhe
har taraf se rone kī āvāz aa.egī
phir ḳhāmoshī hogī
sukūt hogā
aur qabr meñ sukūt achchhā lagegā
aur qabr se bāhar jise sukūt bardāsht karne kī sazā milegī
is kī hālat kitnī bhayānak hogī
ab tū hī batā kyā kareñ
kitnī mushkil sūrat-e-hāl hai
ki tere gudāz badan ke lams se aur
tere lafzoñ kī khan-khanāhaT se hī
maiñ terī mohabbat ko samajh saktā huuñ
badan se pare
sarhad-e-idrāk ke us paar
maiñ tum tak rasā.ī paane se qāsir huuñ
aur jab jism kā ye rishta TuuT jā.egā
to jahāñ ham us vaqt soch meñ gum haiñ
vahāñ ek ḳhālī piñjra hogā
jab main aur tu niDhaal ho jate hain
sansen phulti hain
o rahm pahle Dhile aur phir sard paD jate hain
aur hamare chehre apni asli haalat par aa jate hain
to be-iKHtiyar sochta hun
hamara kya hoga agar sath chhuT gaya
tumhaara kya hoga mere baghair
mera kya hoga tere baghair
main to soch bhi nahin sakta
ki to mere jite-ji mar jae
aur na ye soch sakta hun
ki to kaise roegi
agar main tum se pahle mar gaya
hum kitne be-bas aur akele hain
kya ye mumkin nahin ki hum apni jaanen ek hi qalib mein samo len
taki man-o-tu ka jhagDa hi miT jae
hum ek hi shaKH ke do phul hain
hamara mazaq aur mizaj ek hai
hamara lutf-e-badan ek hai
hamara sachcha man ek hai
to phir hum juda kyun ho jaen
koi rasta nahin kya
koi chaara nahin kya
aisi koi surat bana
ki hum do dilon ko dhaDakta
aur dinon ko chamakta rakh saken
aur phir
main shahr-dar-shahr jagta phirun
kucha-o-bazar mein bhagta phirun
aur teri aawaz hamesha aasman ki bulandiyon se
utarti rahe aur zamin ko jagati rahe
aur main mohabbat ke sagar par suron ki darsha karun
jism kitna nahif hai
aur hum is liye is qalib mein Dhaale gae
ki fana ki lazzat se aashna ho jaen
main maut ke bare mein kuchh ziyaada hi sochta hun
jab teri sansen mere shanon par dastak nahin detin
to main kanp uThta hun
main maut ke sukut se Darta hun
magar wo ghaDi aaegi
jab hum mein se ek pahle zamin main utrega
sausan ke safed aur kasni phulon ki chadar oDhe
har taraf se rone ki aawaz aaegi
phir KHamoshi hogi
sukut hoga
aur qabr mein sukut achchha lagega
aur qabr se bahar jise sukut bardasht karne ki saza milegi
is ki haalat kitni bhayanak hogi
ab tu hi bata kya karen
kitni mushkil surat-e-haal hai
ki tere gudaz badan ke lams se aur
tere lafzon ki khan-khanahaT se hi
main teri mohabbat ko samajh sakta hun
badan se pare
sarhad-e-idrak ke us par
main tum tak rasai pane se qasir hun
aur jab jism ka ye rishta TuT jaega
to jahan hum us waqt soch mein gum hain
wahan ek KHali pinjra hoga
- Book : Lafz lafz Nauha (Pg. 130)
- Author : Farooq Nazki
- Publication : Tabish Publication Srinagar Kashmeer (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.