mawara
bīsvīñ sadī ke āḳhirī barsoñ meñ
ek gahrātī huī shaam ko
jab parindoñ aur pattoñ kā rañg siyāh ho chukā thā
aur dukh kā rañg har rañg par ġhālib thā
maañ TuuT chukī thī
mahbūba ruuTh chukī thī
hafta-vār ta.atīl kī farāġhat se mutma.in
sarshārī ke ek lamhe ko be-qarār
shā.ir
likhne baiThā
gird-o-pesh kī duniyā
nihāyat āhistagī se
ḳhafīf pardoñ se chhantī huī
ġhā.eb ho ga.ī
aur puurī kā.enāt mahdūd ho kar
mez ke raqbe meñ simaT aa.ī
shā.ir nā-mālūm kitne zamānoñ tak
mahbūt baiThā fazā kī sargoshiyāñ suntā rahā
saa.eñ saa.eñ kartī ḳhāmoshī meñ
mo'atabar alfāz kī talāsh-o-justujū meñ
ġhaltāñ-va-pechāñ
ki yak laḳht raat kī shah-rag se
ka.ī ḳhuun ke favvāre chhūTe
aur sisaktī sīḌhiyoñ chīḳhte darvāzoñ ke āhañg pe
mez par paḌī kāñch se jhāñktī
marx kī tasvīroñ par
ik-tārā bajāte hue nepālī bachche kī tasvīr
aur paash kī nazmoñ par
mūslā-dhār āñsuoñ kī bārish hone lagī
aur bāhar raat kī tārīkī meñ kutte bhauñkne lage
nasīboñ jalī bāñkī tilañgan raat jaarī thī
biswin sadi ke aaKHiri barson mein
ek gahraati hui sham ko
jab parindon aur patton ka rang siyah ho chuka tha
aur dukh ka rang har rang par ghaalib tha
man TuT chuki thi
mahbuba ruTh chuki thi
hafta-war tatil ki faraghat se mutmain
sarshaari ke ek lamhe ko be-qarar
shair
likhne baiTha
gird-o-pesh ki duniya
nihayat aahistagi se
KHafif pardon se chhanti hui
ghaeb ho gai
aur puri kaenat mahdud ho kar
mez ke raqbe mein simaT aai
shair na-malum kitne zamanon tak
mahbut baiTha faza ki sargoshiyan sunta raha
saen saen karti KHamoshi mein
mo'atabar alfaz ki talash-o-justuju mein
ghaltan-wa-pechan
ki yak laKHt raat ki shah-rag se
kai KHun ke fawware chhuTe
aur sisakti siDhiyon chiKHte darwazon ke aahang pe
mez par paDi kanch se jhankti
marx ki taswiron par
ik-tara bajate hue nepali bachche ki taswir
aur pash ki nazmon par
musla-dhaar aansuon ki barish hone lagi
aur bahar raat ki tariki mein kutte bhaunkne lage
nasibon jali banki tilangan raat jari thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.