mawara
raah chalte hue ik moḌ pe duur az ummīd
aañkh jhapkī to mire sāmne vo shoḳh parī-paikar thā
mere pahlū se vo guzrā magar is tarah ki chehre pe thā haath
ek mīThī sī ḳhalish chhoḌ ga.ī dil meñ ye jāñ-soz adā
māvarā.ī saaya jalva jo gurezāñ hai mirī nazroñ se
merī bāñhoñ kī harārat meñ kabhī sham.a ke mānind pighal jaatā thā
qurb kī aañch se ye paikar-e-nūr
ishq kī ātish-e-sayyāl meñ Dhal jaatā thā
ek shola sā rag-o-pai meñ machal jaatā thā
ye koī dasht-e-tasavvur kā hasīñ moḌ na thā
jahāñ ram-dīda ġhazālān-e-taḳhayyul ne use dekhā ho
ye koī ḳhvāb-e-dil-āvez na thā
moḌ ojhal huā nazroñ se to phir raah vahī log vahī
sirf vo chehra vo āñkheñ vo ḳhat-o-ḳhāl na the
jin se baḌh kar koī nazroñ kā shanāsā bhī nahīñ
haa.e vo lamha-e-parāñ vo dil-āvez adā
yuuñ mile jaise kabhī maiñ ne unheñ dekhnā chāhā bhī nahīñ
hai rivāyat ki ḳhudāvand-e-ḳhudāyān-e-jahāñ
apnī rūyat se musharraf yūñhī farmātā hai un bandoñ ko
jo us kī lagan meñ shab o roz
hamd o tasbīh o sanā aur munājāt o duā karte haiñ
sirf ik diid kī hasrat meñ jiyā karte haiñ
āñkhoñ meñ kaaT diyā karte haiñ raat
tab kisī lamhe meñ vo zāt-e-munazzah ki jo hai ḳhātama-e-jumla-sifāt
shola-e-husn-e-azal rūh-e-jahāñ jān-e-hayāt
sub.h ke nuur ke mānind nigāhoñ ko munavvar kartā
arsh se farsh pe kartā hai nuzūl
aur usī lamha vo bad-baḳht vo martāzi-e-tasbīh-o-ruku-o-sajda
nashsha-e-tishnagi-e-dīd se chuur
ḳhānqāhoñ ke kisī goshe meñ so jaate haiñ
jis tarah hasrat-e-dīdār meñ ik umr guzārī hī nahīñ
aartī jaise kabhī us kī nigāhoñ ne utārī hī nahīñ
aur vo rabb-e-jahāñ rāhat-e-jāñ
māvarā-e-nigah-e-kaun-o-makāñ
muñh chhupā.e hue hāthoñ se guzar jaatā hai
hasrat-e-dīd dar-o-bām se sar phoḌtī rah jaatī hai
rah chalte hue ek moD pe dur az ummid
aankh jhapki to mere samne wo shoKH pari-paikar tha
mere pahlu se wo guzra magar is tarah ki chehre pe tha hath
ek miThi si KHalish chhoD gai dil mein ye jaan-soz ada
mawarai saya jalwa jo gurezan hai meri nazron se
meri banhon ki hararat mein kabhi shama ke manind pighal jata tha
qurb ki aanch se ye paikar-e-nur
ishq ki aatish-e-sayyal mein Dhal jata tha
ek shola sa rag-o-pai mein machal jata tha
ye koi dasht-e-tasawwur ka hasin moD na tha
jahan ram-dida ghazalan-e-taKHayyul ne use dekha ho
ye koi KHwab-e-dil-awez na tha
moD ojhal hua nazron se to phir rah wahi log wahi
sirf wo chehra wo aankhen wo KHat-o-KHal na the
jin se baDh kar koi nazron ka shanasa bhi nahin
hae wo lamha-e-paran wo dil-awez ada
yun mile jaise kabhi main ne unhen dekhna chaha bhi nahin
hai riwayat ki KHudawand-e-KHudayan-e-jahan
apni ruyat se musharraf yunhi farmata hai un bandon ko
jo us ki lagan mein shab o roz
hamd o tasbih o sana aur munajat o dua karte hain
sirf ek did ki hasrat mein jiya karte hain
aankhon mein kaT diya karte hain raat
tab kisi lamhe mein wo zat-e-munazzah ki jo hai KHatama-e-jumla-sifat
shola-e-husn-e-azal ruh-e-jahan jaan-e-hayat
subh ke nur ke manind nigahon ko munawwar karta
arsh se farsh pe karta hai nuzul
aur usi lamha wo bad-baKHt wo martazi-e-tasbih-o-ruku-o-sajda
nashsha-e-tishnagi-e-did se chur
KHanqahon ke kisi goshe mein so jate hain
jis tarah hasrat-e-didar mein ek umr guzari hi nahin
aarti jaise kabhi us ki nigahon ne utari hi nahin
aur wo rabb-e-jahan rahat-e-jaan
mawara-e-nigah-e-kaun-o-makan
munh chhupae hue hathon se guzar jata hai
hasrat-e-did dar-o-baam se sar phoDti rah jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.