maya ye sansar
maayā ye sansār re baabā maayā ye sansār
jis ne man kī āñkheñ kholīñ us kā beḌā paar
ye dhan daulat sonā chāñdī ye zevar ye zar
ye baaġh aur ye khetī-bāḌī ye koThe ye ghar
ye singhāsan ye gaddī ye naukar ye chākar
saath bhī tere jā.egā kyā saarā ye darbār
maayā ye sansār re baabā maayā ye sansār
do din kī ye raunaq hai aur do din kā ye khel
mañDhe chaḌhī hai kis kī āḳhir is duniyā meñ bel
bujh kar rah jaatā hai diyā jab jal chuktā hai tel
aag chitā kī ḳhaak lahad kī rakkhī hai tayyār
maayā ye sansār re baabā maayā ye sansār
sūraj jaisā chehra aur ye chandar jaise gaal
nargis jaisī āñkheñ aur ye sumbul jaise baal
ubhrā ubhrā siina aur ye aTkhelī sī chaal
paḌ jā.egā āḳhir ik din phīkā ye bāzār
maayā ye sansār re baabā maayā ye sansār
haath se tan ke jaan kā pyāla jab jā.egā chhūT
bajte bajte saañs kā baajā jab jā.egā TuuT
tab tujh par khul jā.egā ye sach hai yā hai jhuuT
laash se terī ho jā.eñge apne bhī bezār
maayā ye sansār re baabā maayā ye sansār
ulTe tere chaal chalan haiñ ulTī terī riit
haar ke har ko haath se apne samjhā us ko jiit
haiñ dhoke ke sur ye tere mīThe mīThe giit
dil meñ tere chhurī kaTārī lab par istiġhfār
maayā ye sansār re baabā maayā ye sansār
allāh-hū kā na.ara ho yā harī harī kī taan
dil hī terā paak nahīñ to kyā simran kyā dhyān
zamzam meñ tū ġhusl kare yā gangā meñ ashnān
lā-hāsil sab sajde tere puujā sab bekār
maayā ye sansār re baabā maayā ye sansār
mrityu sar par khel rahī hai aaj na aa.ī kal
niiñd se chauñk aur sustī toḌ aur āñkheñ apnī mal
dekh na daa.eñ baa.eñ baabā sīdhā rasta chal
kaan ke parde khol ke sun le 'najmī' ke ash.ār
maayā ye sansār re baabā maayā ye sansār
jis ne man kī āñkheñ kholīñ us kā beḌā paar
maya ye sansar re baba maya ye sansar
jis ne man ki aankhen kholin us ka beDa par
ye dhan daulat sona chandi ye zewar ye zar
ye bagh aur ye kheti-baDi ye koThe ye ghar
ye singhasan ye gaddi ye naukar ye chaakar
sath bhi tere jaega kya sara ye darbar
maya ye sansar re baba maya ye sansar
do din ki ye raunaq hai aur do din ka ye khel
manDhe chaDhi hai kis ki aaKHir is duniya mein bel
bujh kar rah jata hai diya jab jal chukta hai tel
aag chita ki KHak lahad ki rakkhi hai tayyar
maya ye sansar re baba maya ye sansar
suraj jaisa chehra aur ye chandar jaise gal
nargis jaisi aankhen aur ye sumbul jaise baal
ubhra ubhra sina aur ye aTkheli si chaal
paD jaega aaKHir ek din phika ye bazar
maya ye sansar re baba maya ye sansar
hath se tan ke jaan ka pyala jab jaega chhuT
bajte bajte sans ka baja jab jaega TuT
tab tujh par khul jaega ye sach hai ya hai jhuT
lash se teri ho jaenge apne bhi bezar
maya ye sansar re baba maya ye sansar
ulTe tere chaal chalan hain ulTi teri rit
haar ke har ko hath se apne samjha us ko jit
hain dhoke ke sur ye tere miThe miThe git
dil mein tere chhuri kaTari lab par istighfar
maya ye sansar re baba maya ye sansar
allah-hu ka nara ho ya hari hari ki tan
dil hi tera pak nahin to kya simran kya dhyan
zamzam mein tu ghusl kare ya ganga mein ashnan
la-hasil sab sajde tere puja sab bekar
maya ye sansar re baba maya ye sansar
mrityu sar par khel rahi hai aaj na aai kal
nind se chaunk aur susti toD aur aankhen apni mal
dekh na daen baen baba sidha rasta chal
kan ke parde khol ke sun le 'najmi' ke ashaar
maya ye sansar re baba maya ye sansar
jis ne man ki aankhen kholin us ka beDa par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.