chain hai ḳhvāb hai kahānī hai
māysha merī zindagānī hai
har taraf is se shādmānī hai
har nazāre kā rang dhānī hai
rang meñ ruup meñ nazākat meñ
sab meñ pariyoñ kī vo to raanī hai
us kī āñkhoñ se nuur chhantā hai
us ke hoñToñ pe gul-fishānī hai
aisī nāzuk ki pankhuḌī bhī nahīñ
phuul koī vo dāstānī hai
mustaqil bām-o-dar mahakte haiñ
vo mire ghar kī rāt-rānī hai
us kī ma.asūm muskurāhaT meñ
kuchh farishtoñ kī bhī nishānī hai
naġhmagī jism-o-jāñ meñ ghul jaa.e
aisī hoñToñ pe ḳhush-bayānī hai
aisā gul-kāriyoñ meñ jaadū hai
aag bhī jis ke dam se paanī hai
hech maḳhmal hai jild ke aage
rang bhī rashk-e-arġhavānī hai
us ke talvoñ ke lams meñ bhī ajab
nasha-e-kaif-e-jāvedānī hai
us se har aañkh meñ basārat hai
us se har dil meñ shādmānī hai
us ke hone se mere āñgan meñ
tapish-e-dhūp bhī suhānī hai
be-zarar be-zabān hai lekin
har taraf us kī hukmrānī hai
baap qurbān maañ fidā us par
aur naanī to bas dīvānī hai
daadā daadī ke dil kī dhaḌkan hai
sunny māmūñ kī jān-e-jānī hai
shāhida hoñ ki baby baajī huuñ
har koī us parī kī naanī hai
faḳhr in.aam kī chahetī hai
sallū shādāb kī bhī raanī hai
dil mahak kā chahak rahā us se
lab pe safiya ke lan-tarānī hai
bin bulā.e hameñ bulātī hai
vo to guḌiyā ajab siyānī hai
ai 'ġhazanfar' batā ki mahfil meñ
kyā koī māysha kā saanī hai
chain hai KHwab hai kahani hai
maysha meri zindagani hai
har taraf is se shadmani hai
har nazare ka rang dhani hai
rang mein rup mein nazakat mein
sab mein pariyon ki wo to rani hai
us ki aankhon se nur chhanta hai
us ke honTon pe gul-fishani hai
aisi nazuk ki pankhuDi bhi nahin
phul koi wo dastani hai
mustaqil baam-o-dar mahakte hain
wo mere ghar ki raat-rani hai
us ki masum muskurahaT mein
kuchh farishton ki bhi nishani hai
naghmagi jism-o-jaan mein ghul jae
aisi honTon pe KHush-bayani hai
aisa gul-kariyon mein jadu hai
aag bhi jis ke dam se pani hai
hech maKHmal hai jild ke aage
rang bhi rashk-e-arghawani hai
us ke talwon ke lams mein bhi ajab
nasha-e-kaif-e-jawedani hai
us se har aankh mein basarat hai
us se har dil mein shadmani hai
us ke hone se mere aangan mein
tapish-e-dhup bhi suhani hai
be-zarar be-zaban hai lekin
har taraf us ki hukmrani hai
bap qurban man fida us par
aur nani to bas diwani hai
dada dadi ke dil ki dhaDkan hai
sunny mamun ki jaan-e-jaani hai
shahida hon ki baby baji hun
har koi us pari ki nani hai
faKHr inam ki chaheti hai
sallu shadab ki bhi rani hai
dil mahak ka chahak raha us se
lab pe safiya ke lan-tarani hai
bin bulae hamein bulati hai
wo to guDiya ajab siyani hai
ai 'ghazanfar' bata ki mahfil mein
kya koi maysha ka sani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.