mazarat
mere ḳhvāb gharauñde meñ mere saath haiñ
murda lamhoñ ke be rut baasī calender
guzrī kal ke bhīge bhīge se pachhtāve
aane vaalī kal ke be kal se andeshe
sūkhe phūloñ kī Tahnī par
patjhaḌ ke jhoñkoñ se uḌtī be-ghar titlī
piile pattoñ kī murjhā.ī bel se lipTī
sahmī chiḌiyā
is kī āñkhoñ ke gahre vīrān samundar
kamre ke kone meñ sañvarī gūñgī guḌiyā
shelf meñ rakkhī sajī-sajā.ī sard kitābeñ
rasta DhūñDhtī bhaTkī bhaTkī sub.heñ shāmeñ
ḳhud hī socho
aise pur-āvāz hujūm meñ
aise ghar meñ
tum ko lā ke kahāñ biThā.ūñ
mere KHwab gharaunde mein mere sath hain
murda lamhon ke be rut basi calender
guzri kal ke bhige bhige se pachhtawe
aane wali kal ke be kal se andeshe
sukhe phulon ki Tahni par
patjhaD ke jhonkon se uDti be-ghar titli
pile patton ki murjhai bel se lipTi
sahmi chiDiya
is ki aankhon ke gahre viran samundar
kamre ke kone mein sanwari gungi guDiya
shelf mein rakkhi saji-sajai sard kitaben
rasta DhunDhti bhaTki bhaTki subhen shamen
KHud hi socho
aise pur-awaz hujum mein
aise ghar mein
tum ko la ke kahan biThaun
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 494)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.