mazarat
merī āñkheñ haiñ ki vīrān sā marqad koī
kisī sahrā meñ koī samt-numā ho jaise
sard rātoñ kā koī chāñd thakan se mad.hosh
raat ke pichhle pahar nauha-sarā ho jaise
merī āñkheñ haiñ ki ik ḳhvāhish-e-be-rang liye
jaane kis daur ke manzar kī talab meñ ġhaltāñ
be-sabab rāh-navardī kā ishāra de kar
mere sapne mirī palkoñ se bhī mastūr kareñ
mujh ko ehsās hai hamdam ki baḌī chāhat se
tū chalī aa.ī rivāyāt ke kāñTe chun kar
naqsh-e-pā raah meñ botā gayā zaḳhmoñ ke gulāb
mujh ko ma.alūm hai ai dost mirī jaan mirī
tū ne ehsās ke tāroñ se ka.ī ḳhvāb bune
mere pairoñ se rivājoñ ke nokīle kāñTe
phuul samjhe kabhī chūme kabhī palkoñ se chune
maiñ ki har baar baġhāvat kī alāmat Thahrā
ab ke yuuñ hai ki tire qurb ke mausam ke evaz
ātish-e-vaqt meñ īñdhan kī tarah jalte hue
nā-tavāñ jism pe ik zaḳhm lagā hai gahrā
meri aankhen hain ki viran sa marqad koi
kisi sahra mein koi samt-numa ho jaise
sard raaton ka koi chand thakan se madhosh
raat ke pichhle pahar nauha-sara ho jaise
meri aankhen hain ki ek KHwahish-e-be-rang liye
jaane kis daur ke manzar ki talab mein ghaltan
be-sabab rah-nawardi ka ishaara de kar
mere sapne meri palkon se bhi mastur karen
mujh ko ehsas hai hamdam ki baDi chahat se
tu chali aai riwayat ke kanTe chun kar
naqsh-e-pa rah mein bota gaya zaKHmon ke gulab
mujh ko malum hai ai dost meri jaan meri
tu ne ehsas ke taron se kai KHwab bune
mere pairon se riwajon ke nokile kanTe
phul samjhe kabhi chume kabhi palkon se chune
main ki har bar baghawat ki alamat Thahra
ab ke yun hai ki tere qurb ke mausam ke ewaz
aatish-e-waqt mein indhan ki tarah jalte hue
na-tawan jism pe ek zaKHm laga hai gahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.