mazi
hamāre gaañv meñ ik jagah aisī hai
jahāñ bārish kā paanī jam' ho kar
dūsre nīche ilāqoñ se
ziyāda vaqt tak maujūd rahtā hai
sabab us kā kisī ko bhī nahīñ mā'lūm lekin
buzurg itnā batāte haiñ
vo kallū hai nā kallū
yahāñ par saarā din kapḌoñ ko dhotā thā
yahāñ tālāb hotā thā
hamare ganw mein ek jagah aisi hai
jahan barish ka pani jam' ho kar
dusre niche ilaqon se
ziyaada waqt tak maujud rahta hai
sabab us ka kisi ko bhi nahin ma'lum lekin
buzurg itna batate hain
wo kallu hai na kallu
yahan par sara din kapDon ko dhota tha
yahan talab hota tha
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 131)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.