mazi ke sahra
mere maazī meñ bahut duur talak sahrā haiñ
sar ubhāre hue bikhre haiñ bahut se ahrām
momyā.ī huī yādoñ kī bahut lāsheñ haiñ
kārvāñ apnī javānī kā bahut tez chalā
zindagī apnī bikhartī rahī ban ban ke ġhubār
aaj āñkhoñ ke ubharte hue kaale halqe
aur bāloñ kī javānī meñ ye chāñdī ke se taar
mere māthe kī lakīroñ pe tafakkur ke nuqūsh
aur hāthoñ pe ubhartī huī gahrī shikaneñ
mere jaage hue ehsās kā afsāne haiñ
mere mazi mein bahut dur talak sahra hain
sar ubhaare hue bikhre hain bahut se ahram
momyai hui yaadon ki bahut lashen hain
karwan apni jawani ka bahut tez chala
zindagi apni bikharti rahi ban ban ke ghubar
aaj aankhon ke ubharte hue kale halqe
aur baalon ki jawani mein ye chandi ke se tar
mere mathe ki lakiron pe tafakkur ke nuqush
aur hathon pe ubharti hui gahri shikanen
mere jage hue ehsas ka afsane hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.