mazi mein rah jaane wali aankhen
ham sab kī yādoñ meñ hai ik sabz-darīcha
jis meñ rakkhā hai gul-dān
is gul-dān meñ ab tak taaza phuul saje haiñ
phūloñ meñ do āñkheñ haiñ
jo maazī kī tārīk guzargāhoñ meñ
jaise sham.eñ ban kar raushan haiñ
un āñkhoñ aur ham logoñ meñ
ab vaqt kā sahrā haa.il hai
duur haiñ lekin ye āñkheñ har lamha dekhtī rahtī haiñ
ham kaise haiñ kis des meñ haiñ
kis bhes meñ haiñ kin logoñ meñ haiñ
kaun hameñ ḳhushiyāñ detā hai kaun hameñ ġham detā hai
un se bichhaḌ ke kis se mile
aur kis se hue ham log judā
dukh meñ aur tanhā.ī meñ vo kaun thā jis ko yaad kiyā
ham ro.eñ to aaj bhī jaise ye āñkheñ ro detī haiñ
ham ḳhush hoñ to ye bhī ḳhush ho jaatī haiñ
in āñkhoñ kā hameñ sahārā rahtā hai
jaise musāfir dasht meñ ho
to us kā sāthī us par raushan ek sitāra rahtā hai
lekin ham logoñ ke dil ye soch ke akasr kaañp uThte haiñ
jab ye āñkheñ bujh jā.eñgī
sabz-darīcha ho jā.egā band to āḳhir kyā hogā
hum sab ki yaadon mein hai ek sabz-daricha
jis mein rakkha hai gul-dan
is gul-dan mein ab tak taza phul saje hain
phulon mein do aankhen hain
jo mazi ki tarik guzargahon mein
jaise shamen ban kar raushan hain
un aankhon aur hum logon mein
ab waqt ka sahra hail hai
dur hain lekin ye aankhen har lamha dekhti rahti hain
hum kaise hain kis des mein hain
kis bhes mein hain kin logon mein hain
kaun hamein KHushiyan deta hai kaun hamein gham deta hai
un se bichhaD ke kis se mile
aur kis se hue hum log juda
dukh mein aur tanhai mein wo kaun tha jis ko yaad kiya
hum roen to aaj bhi jaise ye aankhen ro deti hain
hum KHush hon to ye bhi KHush ho jati hain
in aankhon ka hamein sahaara rahta hai
jaise musafir dasht mein ho
to us ka sathi us par raushan ek sitara rahta hai
lekin hum logon ke dil ye soch ke akasr kanp uThte hain
jab ye aankhen bujh jaengi
sabz-daricha ho jaega band to aaKHir kya hoga
- Book : siip (Magzin) (Pg. 167)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.