mazuri
bahut sī nazmeñ kahī thiiñ maiñ ne
likheñ bhī likh likh ke phaaḌ Dāleñ
jo shāyad nāzuk tab.a pe terī garāñ guzartīñ
ki jāntī thī vo saare mausam
jo tere andar haiñ aate jaate
parakh chukī thī maiñ tere dil kī tamām rut ko
maiñ terī sochoñ se āshnā thī
isī liye to
bahut sī nazmeñ kahī thiiñ lekin
bahut si nazmen kahi thin main ne
likhen bhi likh likh ke phaD Dalen
jo shayad nazuk taba pe teri garan guzartin
ki jaanti thi wo sare mausam
jo tere andar hain aate jate
parakh chuki thi main tere dil ki tamam rut ko
main teri sochon se aashna thi
isi liye to
bahut si nazmen kahi thin lekin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.