mazuri
ḳhalvat-o-jalvat meñ tum mujh se milī ho bār-hā
tum ne kyā dekhā nahīñ maiñ muskurā saktā nahīñ
maiñ ki māyūsī mirī fitrat meñ dāḳhil ho chukī
jabr bhī ḳhud par karūñ to gungunā saktā nahīñ
mujh meñ kyā dekhā ki tum ulfat kā dam bharne lagīñ
maiñ to ḳhud apne bhī koī kaam aa saktā nahīñ
rūh-afzā haiñ junūn-e-ishq ke naġhme magar
ab maiñ in gaa.e hue gītoñ ko gā saktā nahīñ
maiñ ne dekhā hai shikast-e-sāz-e-ulfat kā samāñ
ab kisī tahrīk par barbat uThā saktā nahīñ
dil tumhārī shiddat-e-ehsās se vāqif to hai
apne ehsāsāt se dāman chhuḌā saktā nahīñ
tum mirī ho kar bhī begāna hī pāogī mujhe
maiñ tumhārā ho ke bhī tum meñ samā saktā nahīñ
gaa.e haiñ maiñ ne ḳhulūs-e-dil se bhī ulfat ke giit
ab riyā-kārī se bhī chāhūñ to gā saktā nahīñ
kis tarah tum ko banā luuñ maiñ sharīk-e-zindagī
maiñ to apnī zindagī kā baar uThā saktā nahīñ
yaas kī tārīkiyoñ meñ Duub jaane do mujhe
ab maiñ sham-e-ārzū kī lau baḌhā saktā nahīñ
KHalwat-o-jalwat mein tum mujh se mili ho bar-ha
tum ne kya dekha nahin main muskura sakta nahin
main ki mayusi meri fitrat mein daKHil ho chuki
jabr bhi KHud par karun to gunguna sakta nahin
mujh mein kya dekha ki tum ulfat ka dam bharne lagin
main to KHud apne bhi koi kaam aa sakta nahin
ruh-afza hain junun-e-ishq ke naghme magar
ab main in gae hue giton ko ga sakta nahin
main ne dekha hai shikast-e-saz-e-ulfat ka saman
ab kisi tahrik par barbat uTha sakta nahin
dil tumhaari shiddat-e-ehsas se waqif to hai
apne ehsasat se daman chhuDa sakta nahin
tum meri ho kar bhi begana hi paogi mujhe
main tumhaara ho ke bhi tum mein sama sakta nahin
gae hain main ne KHulus-e-dil se bhi ulfat ke git
ab riya-kari se bhi chahun to ga sakta nahin
kis tarah tum ko bana lun main sharik-e-zindagi
main to apni zindagi ka bar uTha sakta nahin
yas ki tarikiyon mein Dub jaane do mujhe
ab main sham-e-arzu ki lau baDha sakta nahin
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 29)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.