mabaada
baḌī hairān-kun hai
haqīqat ḳhvāb hai yā ḳhvāb se aage kī manzil
ye duniyā ḳhvāb kī duniyā pe sabqat le ga.ī hai
fasānoñ se fuzūñ-tar zindagī hai
gumāñ kī sarhadeñ hoñ yā taḳhayyul kī uḌāneñ
ḳhirad kī jast se pīchhe kahīñ pīchhe dikhā.ī de rahī haiñ
ḳhirad kī dastaras meñ kyā nahīñ hai
nahīñ hai ġhair-mumkin
kabhī imkān se jo māvarā thā
faqat ik dāstāñ hai
ga.e vaqtoñ meñ jo raa.ij asātīrī ḳhudā thā
dar-e-ījād kī chaukhaT pe hairat surañgoñ hai
ye sab idrāk kā dast-e-junūñ hai
pas-e-idrāk jalva-āfrīñ hai aql kī jādū-nigāhī
shu.ūr-e-asr-e-hāzir meñ simaTtī hai ḳhudā.ī
samā.at kā ye aalam hai jo gum-gashta sadā.eñ thī sunā.ī de rahī haiñ
basārat us balā kī hai ki zarre meñ bhī duniyā.eñ dikhā.ī de rahī haiñ
jahān-e-āgahī ke rāstoñ par chalte chalte
sitāroñ ko sar-e-imkāñ talak ab lā chuke haiñ
na.ī duniyāoñ ke ham bhed kyā kyā pā chuke haiñ
ḳhirad ye chāhtī hai maut ko bhī zer kar de
vajūd-e-hast phailā de qayām zindagī tā-der kar de
ḳhirad kī ye fusūñ-kārī ye itnī tez-raftārī kahāñ jā kar thamegī
kahāñ par ḳhatm hogī
kahānī justujū kī
jahāñ insān kī uglā paḌāv hai vo manzil
vo manzil ajnabī rastoñ kā hāsil
kisī anjān duniyā se mumāsil
mujhe ye ḳhauf khaa.e jā rahā hai
ki apnī zaat apne aap se ham
kahīñ nikleñ to itnī duur jā pahuñcheñ jahāñ se vāpsī mumkin nahīñ ho
baDi hairan-kun hai
haqiqat KHwab hai ya KHwab se aage ki manzil
ye duniya KHwab ki duniya pe sabqat le gai hai
fasanon se fuzun-tar zindagi hai
guman ki sarhaden hon ya taKHayyul ki uDanen
KHirad ki jast se pichhe kahin pichhe dikhai de rahi hain
KHirad ki dastaras mein kya nahin hai
nahin hai ghair-mumkin
kabhi imkan se jo mawara tha
faqat ek dastan hai
gae waqton mein jo raij asatiri KHuda tha
dar-e-ijad ki chaukhaT pe hairat surangon hai
ye sab idrak ka dast-e-junun hai
pas-e-idrak jalwa-afrin hai aql ki jadu-nigahi
shuur-e-asr-e-hazir mein simaTti hai KHudai
samaat ka ye aalam hai jo gum-gashta sadaen thi sunai de rahi hain
basarat us bala ki hai ki zarre mein bhi duniyaen dikhai de rahi hain
jahan-e-agahi ke raston par chalte chalte
sitaron ko sar-e-imkan talak ab la chuke hain
nai duniyaon ke hum bhed kya kya pa chuke hain
KHirad ye chahti hai maut ko bhi zer kar de
wajud-e-hast phaila de qayam zindagi ta-der kar de
KHirad ki ye fusun-kari ye itni tez-raftari kahan ja kar thamegi
kahan par KHatm hogi
kahani justuju ki
jahan insan ki ugla paDaw hai wo manzil
wo manzil ajnabi raston ka hasil
kisi anjaan duniya se mumasil
mujhe ye KHauf khae ja raha hai
ki apni zat apne aap se hum
kahin niklen to itni dur ja pahunchen jahan se wapsi mumkin nahin ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.