machchhar aur machchraniyan
TuuTī phūTī morī meñ ik machchhar sāhab rahte haiñ
shāyad vo ghar meñ bhī apne machchhar hī kahlāte haiñ
bīviyāñ un kī chaar adad haiñ machchrānī kahlātī haiñ
morī vaale ghar meñ hī jī chāroñ se bahlāte haiñ
ik din vo ghar se nikle to vāpas aanā bhuul ga.e
maiñ to jānūñ isī tarah se roz kahīñ uḌ jaate haiñ
bīviyāñ un kī chup baiThī thiiñ lekin fikr thī sab ko hī
chāroñ aapas meñ kahtī thiiñ ab aate ab aate haiñ
pahlī bolī sach kahtī huuñ maiñ aadat se vāqif huuñ
aaḌe tirchhe uḌte vo ab biin bajāte aate haiñ
dūsrī bolī sach kahtī huuñ maiñ aadat se vāqif huuñ
laal khaTolā hare bhare takiye un par loT lagāte haiñ
tīsrī bolī sach kahtī huuñ maiñ aadat se vāqif huuñ
kuuḌā ghar ke ḳhamīr ke uupar rah rah kar mañDlāte haiñ
chauthī bolī sach kahtī huuñ maiñ aadat se vāqif huuñ
baasī baasī phaloñ ke ras meñ ḳhush ho ho ke nahāte haiñ
TuTi phuTi mori mein ek machchhar sahab rahte hain
shayad wo ghar mein bhi apne machchhar hi kahlate hain
biwiyan un ki chaar adad hain machchrani kahlati hain
mori wale ghar mein hi ji chaaron se bahlate hain
ek din wo ghar se nikle to wapas aana bhul gae
main to jaanun isi tarah se roz kahin uD jate hain
biwiyan un ki chup baiThi thin lekin fikr thi sab ko hi
chaaron aapas mein kahti thin ab aate ab aate hain
pahli boli sach kahti hun main aadat se waqif hun
aaDe tirchhe uDte wo ab bin bajate aate hain
dusri boli sach kahti hun main aadat se waqif hun
lal khaTola hare bhare takiye un par loT lagate hain
tisri boli sach kahti hun main aadat se waqif hun
kuDa ghar ke KHamir ke upar rah rah kar manDlate hain
chauthi boli sach kahti hun main aadat se waqif hun
basi basi phalon ke ras mein KHush ho ho ke nahate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.