Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

machchhar ne ek patthar toDa

Mohammad Shafiuddin Nayyar

machchhar ne ek patthar toDa

Mohammad Shafiuddin Nayyar

MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar

    machchhar ne ik patthar toḌā

    patthar meñ se niklā ghoḌā

    ghoḌe ne kuchh khiir pakā.ī

    ḳhuub maze le le kar khaa.ī

    itne meñ ik billā aayā

    billā ghoḌe par chillāyā

    bille ne roTī pakvā.ī

    ḳhuub maze le le kar khaa.ī

    itne meñ ik kuttā aayā

    apne muñh meñ haDDī laayā

    kutte ne haDDī tuḌvā.ī

    ḳhuub maze le le kar khaa.ī

    itne meñ ik ullū aayā

    ullū ne ik khel dikhāyā

    us ne apnī muTThī kholī

    muTThī meñ se niklī jholī

    jholī meñ se niklī billī

    billī chal kar aa.ī dillī

    dillī meñ kuchh makkhan paayā

    ye makkhan machchhar ne khāyā

    machchhar ne phir chhuTTī paa.ī

    'nayyar' ne ye nazm banā.ī

    machchhar ne ek patthar toDa

    patthar mein se nikla ghoDa

    ghoDe ne kuchh khir pakai

    KHub maze le le kar khai

    itne mein ek billa aaya

    billa ghoDe par chillaya

    bille ne roTi pakwai

    KHub maze le le kar khai

    itne mein ek kutta aaya

    apne munh mein haDDi laya

    kutte ne haDDi tuDwai

    KHub maze le le kar khai

    itne mein ek ullu aaya

    ullu ne ek khel dikhaya

    us ne apni muTThi kholi

    muTThi mein se nikli jholi

    jholi mein se nikli billi

    billi chal kar aai dilli

    dilli mein kuchh makkhan paya

    ye makkhan machchhar ne khaya

    machchhar ne phir chhuTTi pai

    'nayyar' ne ye nazm banai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now