machchhar se jang
sunā.ūñ maiñ apnī shujā.at kā qissa
dilerī kā qissa himāqat kā qissa
masahrī pe leTā jo sone kī ḳhātir
huā ek machchhar mire paas hāzir
mujhe filmī gaane sunāne lagā vo
mirī niiñd gā kar uḌāne lagā vo
kahā maiñ ne machchhar miyāñ rahne do bas
kahīñ aur gaao mujhe sone do bas
ye sun kar vo itnā huā garm mujh par
ki fauran hī chehre pe aayā jhapaT kar
mire gaal pe us ne zoroñ se kaaTā
ki taklīf se maiñ bahut tilmilāyā
do-hatthaḌ jo machchhar ke ġhussa se maarā
pakaḌ kar mire pair vo phir pukārā
nahīñ mārnā itnā āsān mujh ko
tirā ḳhuun pī kar hī chhoḌūñgā tujh ko
ye kah kar mire paañv par kaaT khāyā
maiñ ik baar phir dard se tilmilāyā
ka.ī haath maare magar vaare machchhar
lagā hañsne kamre kā chakkar lagā kar
ġhurūr us kā mujh se na dekhā gayā jab
mirā ġhussa had se sivā ho gayā jab
to maiñ ne bhī chupke se hokey uThā kar
nazar apnī machchhar kī jānib uThā kar
ghumā kar zarā maiñ ne hokey jo maarī
huī jaan machchhar kī allāh ko pyārī
sunaun main apni shujaat ka qissa
dileri ka qissa himaqat ka qissa
masahri pe leTa jo sone ki KHatir
hua ek machchhar mere pas hazir
mujhe filmi gane sunane laga wo
meri nind ga kar uDane laga wo
kaha main ne machchhar miyan rahne do bas
kahin aur gao mujhe sone do bas
ye sun kar wo itna hua garm mujh par
ki fauran hi chehre pe aaya jhapaT kar
mere gal pe us ne zoron se kaTa
ki taklif se main bahut tilmilaya
do-hatthaD jo machchhar ke ghussa se mara
pakaD kar mere pair wo phir pukara
nahin marna itna aasan mujh ko
tera KHun pi kar hi chhoDunga tujh ko
ye kah kar mere panw par kaT khaya
main ek bar phir dard se tilmilaya
kai hath mare magar ware machchhar
laga hansne kamre ka chakkar laga kar
ghurur us ka mujh se na dekha gaya jab
mera ghussa had se siwa ho gaya jab
to main ne bhi chupke se hokey uTha kar
nazar apni machchhar ki jaanib uTha kar
ghuma kar zara main ne hokey jo mari
hui jaan machchhar ki allah ko pyari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.