machhli ki bu
bistar meñ leTe leTe
us ne sochā
''maiñ moTā hotā jaatā huuñ
kal maiñ apne niile suiT ko
alter karne
darzī ke haañ de ā.ūñgā
nayā suiT do-chār mahīne baa'd sahī!
darzī kī dūkān se lag kar
jo hotel hai
us hotel kī
machhlī testy hotī hai
kal khā.ūñgā
lekin machhlī kī bū saalī
hāthoñ meñ bas jaatī hai
kal sābun bhī laanā hai
ghar aate
letā ā.ūñgā
ab ke ''yardley'' lā.ūñgā
office meñ kal kaam bahut hai
boss agar nārāz huā to
do din kī chhuTTī le lūñgā
aur agar mood huā to
chhe ke show meñ
''rām-aur-shyām'' bhī dekh aa.uuñ gā
picture achchhī hai saalī
nau se baara
club ramī
do din se luck achchhā hai
kal bhī saaTh ruupe jiitā thā
aaj bhī tiis ruupe jiitā huuñ
aur ummīd hai
kal bhī jiit ke ā.ūñgā
bas ab niiñd aa.e to achchhā
kal bhī
jiit ke
niiñd aa.e to
ikkā-dukkī nahla-dahla
iiñT kī begam
machhlī kī bū
taash ke patte
joker joker
suiT pahan kar
moTā-tagḌā joker....
itnā bahut sā soch ke vo
soyā thā magar
phir na uThā!!
dūsre din jab
us kā janāza
darzī kī dūkān ke paas se guzrā to
hotel se machhlī kī bū
duur duur tak aa.ī thī!!!
bistar mein leTe leTe
us ne socha
main moTa hota jata hun
kal main apne nile suiT ko
alter karne
darzi ke han de aaunga
naya suiT do-chaar mahine ba'd sahi!
darzi ki dukan se lag kar
jo hotel hai
us hotel ki
machhli testy hoti hai
kal khaunga
lekin machhli ki bu sali
hathon mein bas jati hai
kal sabun bhi lana hai
ghar aate
leta aaunga
ab ke yardley launga
office mein kal kaam bahut hai
boss agar naraaz hua to
do din ki chhuTTi le lunga
aur agar mood hua to
chhe ke show mein
ram-aur-shyam bhi dekh aaun ga
picture achchhi hai sali
nau se bara
club rami
do din se luck achchha hai
kal bhi saTh rupe jita tha
aaj bhi tis rupe jita hun
aur ummid hai
kal bhi jit ke aaunga
bas ab nind aae to achchha
kal bhi
jit ke
nind aae to
ikka-dukki nahla-dahla
inT ki begam
machhli ki bu
tash ke patte
joker joker
suiT pahan kar
moTa-tagDa joker
itna bahut sa soch ke wo
soya tha magar
phir na uTha!!
dusre din jab
us ka janaza
darzi ki dukan ke pas se guzra to
hotel se machhli ki bu
dur dur tak aai thi!!!
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 158)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.