Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

madari

Betab Alipuri

madari

Betab Alipuri

MORE BYBetab Alipuri

    bandar vaalā oḌh do-shāla

    gaañv meñ aayā joḌā laayā

    bachche aa.e būḌhe aa.e

    naujavān bhī pahlavān bhī

    Dug Dug Dug Dug

    Dug Dug Dug Dug

    mast hue haiñ dekh rahe haiñ

    bandar maamā Daal pājāma

    aa.ī bandariyā bāñdh la.guTiyā

    bandar bhūrā dekh ke ghūrā

    Dug Dug Dug Dug

    Dug Dug Dug Dug

    kahe madārī karmāñ maarī

    byaah karegī saath rahegī

    kuchh na bolī muñh na kholī

    bandar aayā ḳhuub manāyā

    Dug Dug Dug Dug

    Dug Dug Dug Dug

    haamī bhar haañ kar

    jorū laayā naach dikhāyā

    bajā ke taalī peT hai ḳhālī

    lagā batāne aur dikhāne

    Dug Dug Dug Dug

    Dug Dug Dug Dug

    sab ke haath se paise barse

    uThā madārī tayyārī

    le kar jhūlā zor se bolā

    lo salām raam raam

    Dug Dug Dug Dug

    Dug Dug Dug Dug

    bandar wala oDh do-shaala

    ganw mein aaya joDa laya

    bachche aae buDhe aae

    naujawan bhi pahlawan bhi

    Dug Dug Dug Dug

    Dug Dug Dug Dug

    mast hue hain dekh rahe hain

    bandar mama Dal pajama

    aai bandariya bandh laguTiya

    bandar bhura dekh ke ghura

    Dug Dug Dug Dug

    Dug Dug Dug Dug

    kahe madari karman mari

    byah karegi sath rahegi

    kuchh na boli munh na kholi

    bandar aaya KHub manaya

    Dug Dug Dug Dug

    Dug Dug Dug Dug

    hami bhar li han hi kar li

    joru laya nach dikhaya

    baja ke tali peT hai KHali

    laga batane aur dikhane

    Dug Dug Dug Dug

    Dug Dug Dug Dug

    sab ke hath se paise barse

    uTha madari ki tayyari

    le kar jhula zor se bola

    lo salam ji ram ram ji

    Dug Dug Dug Dug

    Dug Dug Dug Dug

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now