madd-o-jazr
shām-e-hañgām to ham hai
tasavvur ke khaToloñ pe sajī
apne ajdād ke ayyām kī
tasvīreñ damak uThī haiñ
aise lagtā hai ki
zarroñ se nikalte the qamar
zindagī raqs-kunāñ
nāzāñ-o-shādāb huā kartī thī
naddiyāñ duudh kī bahtī thiiñ
mo.attar thī havā
mahfil-e-hast meñ
har sū the rasīle panghaT
sabz peḌoñ pe khilā karte the naġhmoñ ke gulāb
vahshat-e-ātish-e-auqāt kī illat to kujā
koī darmāndagī ke naam se vāqif bhī na thā
kitne manzar the jinheñ ḳhuld ke manzar kahiye
ruup kī nagrī meñ sañgīt ke sāgar kahiye
aaj chehroñ pe masarrat bhī sarāsīma hai
vahshat-e-ātish-e-auqāt ne
āfāt ke sho.ale pheñke
har taraf maut ke jvālā-mukhī kā laavā
saañs lene se pighal jaate haiñ uḌte panchhī
araz-e-tahzīb ke siine meñ numū-yāfta zahrīle juzām
qaaf gulfām kī ābādī ko le Duube haiñ
vaqt kī god meñ sūkhe bachche
chār-sū ghūmte lāġhar rāñjhe
na.e chañgez na.e nādir-shāh
aahan ho sharbā ke shab-dīz
kāhin maktab-e-naḳhshab ke
fusūñ-kār bagūle haiñ ki
sarsām ke sar chashme haiñ
gūñjte shahpar-e-āseb ke ḳhūnī panje
ādam-e-shā.eq-e-fitrat ke liye
qufl abjad bhī haiñ
zanjīreñ bhī
ruup kī nagrī meñ bahrūp ke tājir aa.e
duur desoñ ke fusūñ-kār
zar kāġhaz rāhat ke liye
chār-sū kushtoñ ke pushte bhī lage haiñ dekho
kis qadar ḳhūn-bahā baaqī hai
āñkheñ pathrā.ī haiñ maaoñ kī
ġhulāmān-e-rusūm-e-amvāj
apnī aqlīm kī me.arāj
kahāñ baiThe haiñ
zarre zarre se nikalte haiñ añdhere bichchhū
nadī nāloñ meñ havāoñ meñ lahu
ḳhuld mashriq meñ lahū
jannat maġhrib meñ lahū
ruup kī nagrī meñ
sañgīt ke sāgar meñ lahū
merī masjid meñ lahū
aap ke mandir meñ lahū
dekhnā ġhaur se ai chāragaro
merī bakal meñ lahū
aap kī chādar meñ lahū
sham-e-hangam to hum hai
tasawwur ke khaTolon pe saji
apne ajdad ke ayyam ki
taswiren damak uThi hain
aise lagta hai ki
zarron se nikalte the qamar
zindagi raqs-kunan
nazan-o-shadab hua karti thi
naddiyan dudh ki bahti thin
moattar thi hawa
mahfil-e-hast mein
har su the rasile panghaT
sabz peDon pe khila karte the naghmon ke gulab
wahshat-e-atish-e-auqat ki illat to kuja
koi darmandagi ke nam se waqif bhi na tha
kitne manzar the jinhen KHuld ke manzar kahiye
rup ki nagri mein sangit ke sagar kahiye
aaj chehron pe masarrat bhi sarasima hai
wahshat-e-atish-e-auqat ne
aafat ke shoale phenke
har taraf maut ke jwala-mukhi ka lawa
sans lene se pighal jate hain uDte panchhi
araz-e-tahzib ke sine mein numu-yafta zahrile juzam
qaf gulfam ki aabaadi ko le Dube hain
waqt ki god mein sukhe bachche
chaar-su ghumte laghar ranjhe
nae changez nae nadir-shah
aahan ho sharba ke shab-diz
kahin maktab-e-naKHshab ke
fusun-kar bagule hain ki
sarsam ke sar chashme hain
gunjte shahpar-e-aseb ke KHuni panje
aadam-e-shaeq-e-fitrat ke liye
qufl abjad bhi hain
zanjiren bhi
rup ki nagri mein bahrup ke tajir aae
dur deson ke fusun-kar
zar kaghaz rahat ke liye
chaar-su kushton ke pushte bhi lage hain dekho
kis qadar KHun-baha baqi hai
aankhen pathrai hain maon ki
ghulaman-e-rusum-e-amwaj
apni aqlim ki mearaj
kahan baiThe hain
zarre zarre se nikalte hain andhere bichchhu
nadi nalon mein hawaon mein lahu
KHuld mashriq mein lahu
jannat maghrib mein lahu
rup ki nagri mein
sangit ke sagar mein lahu
meri masjid mein lahu
aap ke mandir mein lahu
dekhna ghaur se ai chaaragaro
meri bakal mein lahu
aap ki chadar mein lahu
- Book : Pakistani Adab (Pg. 159)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.