madfan
merā pyaar
us bastī ke naam
jahāñ mire bachpan kī nannhī-munnī yādeñ sotī haiñ
jahāñ mirī ma.asūm tamannāoñ ne gharauñde khīñche the
merā pyaar
us ThanDe gahre nīlam tālāb ke naam
jis kī ujlī miTTī mire khilaunoñ ke kaam aatī thī
merā pyaar
us ghar ke naam
jis kī sabz muñDeroñ par
mere haath kī rañgī huī gaurayyā ab bhī chahaktī hogī
jis ke taaq meñ merī nannhī guḌiyā ab bhī sotī hogī
merā rasta taktī hogī chupke chupke rotī hogī
merā pyaar
us khet aur us khaliyān ke naam
jahāñ meñ chāñdnī rātoñ ko
aksar āñkh-micholī khelā kartī thī
merā pyaar
un ujḌe hue bāġhāt ke naam
jahāñ banafsha rañg shagūfoñ aur kusum ke phūloñ meñ
maiñ pahroñ Dolā kartī thī
par phailātī cham-cham kartī tītriyoñ par martī thī
un kā ta.āqub kartī thī
merā pyaar
biite hue lamhāt ke naam
un ujḌe bāġhāt ke naam
un suune khañDarāt ke naam
jo mere purkhoñ kī anā kā madfan haiñ
mera pyar
us basti ke nam
jahan mere bachpan ki nannhi-munni yaaden soti hain
jahan meri masum tamannaon ne gharaunde khinche the
mera pyar
us ThanDe gahre nilam talab ke nam
jis ki ujli miTTi mere khilaunon ke kaam aati thi
mera pyar
us ghar ke nam
jis ki sabz munDeron par
mere hath ki rangi hui gaurayya ab bhi chahakti hogi
jis ke taq mein meri nannhi guDiya ab bhi soti hogi
mera rasta takti hogi chupke chupke roti hogi
mera pyar
us khet aur us khaliyan ke nam
jahan mein chandni raaton ko
aksar aankh-micholi khela karti thi
mera pyar
un ujDe hue baghat ke nam
jahan banafsha rang shagufon aur kusum ke phulon mein
main pahron Dola karti thi
par phailati cham-cham karti titriyon par marti thi
un ka taaqub karti thi
mera pyar
bite hue lamhat ke nam
un ujDe baghat ke nam
un sune khanDaraat ke nam
jo mere purkhon ki ana ka madfan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.