maftuha chithaDa
jañgī beva kā nā-mukammal giit
qarībī dariyā meñ kuchh sipāhiyoñ
ke saath Duub gayā
ghoḌe lāshoñ ke zaḳhmoñ meñ
dauḌte dauḌte gum ho ga.e
sipāhī talvār kī dhaar se luḌhakte hue
maidān-e-jañg ke vast meñ fat.h
kā lafz zamīn par likhne lage
maidān-e-jañg ghūmtā huā
lashkar ke pairoñ ke nīche se
sarak kar havā ke saath mil kar
mulk kī hudūd ko vasī.a karne lag gayā
sipah-sālār kā gūñjtā huā rajaz
bahut se sipāhiyoñ ke janāze
meñ tabdīl ho gayā
sipāhiyoñ kī lāsheñ talvār ke daste par
lage pasīne se pahle ḳhushk ho kar
maidān-e-jañg kī numāyāñ qabreñ ban ga.iiñ
aadmī jāntā hai ki talvār kī dhaar se
gardaneñ to kaaTī jā saktī haiñ
magar vo rajaz qatl nahīñ kiye jā sakte
jinheñ shab karne ke liye sipāhiyoñ ne
maaoñ ke pistānoñ se duudh se
ziyāda zabān kī tezī ko hāsil kiyā
jangi bewa ka na-mukammal git
qaribi dariya mein kuchh sipahiyon
ke sath Dub gaya
ghoDe lashon ke zaKHmon mein
dauDte dauDte gum ho gae
sipahi talwar ki dhaar se luDhakte hue
maidan-e-jang ke wast mein fath
ka lafz zamin par likhne lage
maidan-e-jang ghumta hua
lashkar ke pairon ke niche se
sarak kar hawa ke sath mil kar
mulk ki hudud ko wasia karne lag gaya
sipah-salar ka gunjta hua rajaz
bahut se sipahiyon ke janaze
mein tabdil ho gaya
sipahiyon ki lashen talwar ke daste par
lage pasine se pahle KHushk ho kar
maidan-e-jang ki numayan qabren ban gain
aadmi jaanta hai ki talwar ki dhaar se
gardanen to kaTi ja sakti hain
magar wo rajaz qatl nahin kiye ja sakte
jinhen shab karne ke liye sipahiyon ne
maon ke pistanon se dudh se
ziyaada zaban ki tezi ko hasil kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.