magar meri aankhon mein
meñh barastā hai
āñgan meñ būñdoñ kī rim-jhim meñ
chiḌiyāñ chahaktī huī chār-sū
ghūmtī haiñ
chhatoñ par ghane kaale bādal
bane devtā jhūmte haiñ
sutūnoñ se lipTī huī
surḳh phūloñ kī beleñ
baraste hue meñh kī bauchhār meñ
apnā joban nikhāre
machaltī haiñ
āñgan meñ khulte hue ḳhālī kamre
añdhere kī bakal meñ simTe hue
guzre vaqtoñ kī madirā piye
ūñghte haiñ
ḳhamoshī
ghane bādaloñ kā añdherā
havā ke taḌapte hue sard jhoñkoñ meñ
būñdoñ kī rim-jhim
ye lagtā hai
sadiyoñ se Thahrā huā vaqt
mausam ke nashe meñ be-ḳhud huā hai
magar merī āñkhoñ meñ
sāvan kī guzrī huī rut ke lamhe
jalī ghaas kī pattiyāñ ban ke chubhte haiñ
meinh barasta hai
aangan mein bundon ki rim-jhim mein
chiDiyan chahakti hui chaar-su
ghumti hain
chhaton par ghane kale baadal
bane dewta jhumte hain
sutunon se lipTi hui
surKH phulon ki belen
baraste hue meinh ki bauchhaar mein
apna joban nikhaare
machalti hain
aangan mein khulte hue KHali kamre
andhere ki bakal mein simTe hue
guzre waqton ki madira piye
unghte hain
KHamoshi
ghane baadalon ka andhera
hawa ke taDapte hue sard jhonkon mein
bundon ki rim-jhim
ye lagta hai
sadiyon se Thahra hua waqt
mausam ke nashe mein be-KHud hua hai
magar meri aankhon mein
sawan ki guzri hui rut ke lamhe
jali ghas ki pattiyan ban ke chubhte hain
- Book : Pakistani Adab (Pg. 111)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.