magar wo na aaya
maiñ ne āvāz dī
aur hisār-e-rifāqat meñ
us ko bulāyā
magar vo na aayā
gul-e-ḳhvāb kī patiyāñ
dhuup kī garm rāhat meñ gum thiiñ
mire jism par
narm bārish kī būñdeñ bhī ghoḌe kā sum thiiñ
zamīñ ek amboh-e-hijrāñ meñ
us chaap kī muntazir thī
jo lā-ilm phailāv meñ muntashir thī
parinde subuk reshmīñ Tahniyāñ
apnī minqār meñ thaam kar uḌ rahe the
nasheb-e-junūñ kī taraf
pāniyoñ kī tarah mere saa.e bahe the
kaf-e-chashm par maiñ ne us ke liye
shahr-e-girya sajāyā
magar vo na aayā
kisī samt se us kī aahaT na aa.ī
bahut der tak raat ke sard-ḳhāne meñ
ik aag maiñ ne jalā.ī
kahīñ duur se
koī be-ant mahrūm āvāz aa.ī
judā.ī judā.ī
to phir maiñ ne us ke liye dhund hamvār kī
rasta-e-nau banāyā
magar vo na aayā
main ne aawaz di
aur hisar-e-rifaqat mein
us ko bulaya
magar wo na aaya
gul-e-KHwab ki patiyan
dhup ki garm rahat mein gum thin
mere jism par
narm barish ki bunden bhi ghoDe ka sum thin
zamin ek amboh-e-hijran mein
us chap ki muntazir thi
jo la-ilm phailaw mein muntashir thi
parinde subuk reshmin Tahniyan
apni minqar mein tham kar uD rahe the
nasheb-e-junun ki taraf
paniyon ki tarah mere sae bahe the
kaf-e-chashm par main ne us ke liye
shahr-e-girya sajaya
magar wo na aaya
kisi samt se us ki aahaT na aai
bahut der tak raat ke sard-KHane mein
ek aag main ne jalai
kahin dur se
koi be-ant mahrum aawaz aai
judai judai
to phir main ne us ke liye dhund hamwar ki
rasta-e-nau banaya
magar wo na aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.