maghlub
shumāl meñ barf tezī se ghul rahī hai
zamīñ kā naqsha badal rahā hai
samundaroñ meñ chaḌhā huā hai ga.e zamānoñ kā taaza paanī
ka.ī jazīre to ab bhī haiñ be-ḳhabar magar kal
kahīñ na hoñge
badalne vaalī haiñ sarhadeñ par
baḌā hī shīrīñ hai ḳhvāb-e-ġhaflat
hamāre andāze ḳhvāb sab pīchhe rah ga.e haiñ
samundaroñ meñ bahut se tūfān uTh chuke haiñ
idhar zamīñ par
bisāt par bāziyoñ kī tezī nazar se ojhal
udhar falak par sitāre ojhal
vo jin ko shah-māt ho rahī hai vo saare ojhal
kahf ke ġhāroñ meñ so rahe haiñ
vo jin ke sāhil jazīre firdaus-e-muntazar ke
nishān-e-be-nām hone ko haiñ
koī to jākar unheñ jagā.e
unheñ batā.e
zamīñ kā naqsha badal rahā hai
zamīñ se tūfān uTh rahe haiñ
samundaroñ meñ badal rahe haiñ
shumal mein barf tezi se ghul rahi hai
zamin ka naqsha badal raha hai
samundaron mein chaDha hua hai gae zamanon ka taza pani
kai jazire to ab bhi hain be-KHabar magar kal
kahin na honge
badalne wali hain sarhaden par
baDa hi shirin hai KHwab-e-ghaflat
hamare andaze KHwab sab pichhe rah gae hain
samundaron mein bahut se tufan uTh chuke hain
idhar zamin par
bisat par baziyon ki tezi nazar se ojhal
udhar falak par sitare ojhal
wo jin ko shah-mat ho rahi hai wo sare ojhal
kahf ke ghaaron mein so rahe hain
wo jin ke sahil jazire firdaus-e-muntazar ke
nishan-e-be-nam hone ko hain
koi to jakar unhen jagae
unhen batae
zamin ka naqsha badal raha hai
zamin se tufan uTh rahe hain
samundaron mein badal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.