bin-lāden
torā-borā meñ hotā
to aisī mahsharī maar
jis se
pahāḌ surma ban ga.e
zamīn raakh ho ga.ī
āsmān siyāh paḌ gayā
kab kā ḳhatm ho chukā hotā
magar kurra-e-arz par jagah jagah
haibatnāk ātishīñ phuñkāreñ
karbnāk dil-doz chīḳheñ
is haqīqat kī ġhammāz haiñ
ki bin-lāden
mirā nahīñ
zinda hai
ye phuñkāreñ aur chīḳheñ
is baat kī bhī dalīl haiñ
ki lāden
torā-borā ke alāva
dūsre ḳhittoñ meñ bhī maujūd hai
savāl ye hai ki
lāden ḳhatm kyuuñ nahīñ huā
kyā vo vāqa.ī itnā zabardast hai
ki saare jahān kī majmūī tāqat bhī
us ke aage hech hai
kyā us ne āb-e-hayāt pī lī hai
ki kabhī mar nahīñ saktā
kyā vo qafas bin gayā hai
ki apnī ḳhākistar se phir paidā ho jaatā hai
kyā vo shud sikandarī hai
ki yājūj-mājūj kī zabāneñ
use puurī tarah chaaT nahīñ pātīñ
kyā vo rāvan hai
ki us kā ek sar afghanistan meñ
to baaqī nau dūsre jahāñ meñ
aur kyā us ne koī vardān pā liyā hai
ki sar kaT kar phir dhaḌ se aa lagtā hai
kyā vo bhisham-pitāma hai
ki apnī achchhā ke baġhair mar nahīñ saktā
kyā us ne apnā clone banā liyā hai
ki us kā ḳhātma nā-mumkin ho gayā hai
savāl ye bhī hai
ki mīzā.iloñ kā nishāna chuuk kyuuñ jaatā hai
kyā un ke purze Dhīle haiñ
ki vo apnā tavāzun kho baiThtī haiñ
be-samtī kā shikār ho jaatī haiñ
kyā vo andhī haiñ
ki bin-lāden ko dekh nahīñ pātīñ
kyā un kī bīnā.ī kamzor hai
ki vo lāden aur ġhair-lāden meñ tamīz nahīñ kar pātīñ
bin lāden koī sach to nahīñ
ki shakunī kī chaal us ke aage nākām ho jaa.e
vo lākshā girah se bach kar nikal jaa.e
agyāt-bass se vāpas aa jaa.e
us kā chīr-haran na ho sake
tīroñ kī shayyā par zinda rah jaa.e
kahīñ aisā to nahīñ
ki missileñ use mārnā hī nahīñ chāhatīñ
agar aisā hai
to ye mahsharī maar
kis ke liye
ye musalsal yalġhār
kyuuñ
hairān-o-pareshān arjun
krukshetra meñ chīḳhtā phir rahā hai
magar aaj kī mahā-bhārat meñ
in savāloñ kā javāb dene vaalā
koī kirshn nahīñ
koī kirshn nahīñ
bin-laden
tora-bora mein hota
to aisi mahshari mar
jis se
pahaD surma ban gae
zamin rakh ho gai
aasman siyah paD gaya
kab ka KHatm ho chuka hota
magar kurra-e-arz par jagah jagah
haibatnak aatishin phunkaren
karbnak dil-doz chiKHen
is haqiqat ki ghammaz hain
ki bin-laden
mera nahin
zinda hai
ye phunkaren aur chiKHen
is baat ki bhi dalil hain
ki laden
tora-bora ke alawa
dusre KHitton mein bhi maujud hai
sawal ye hai ki
laden KHatm kyun nahin hua
kya wo waqai itna zabardast hai
ki sare jahan ki majmui taqat bhi
us ke aage hech hai
kya us ne aab-e-hayat pi li hai
ki kabhi mar nahin sakta
kya wo qafas bin gaya hai
ki apni KHakistar se phir paida ho jata hai
kya wo shud sikandari hai
ki yajuj-majuj ki zabanen
use puri tarah chaT nahin patin
kya wo rawan hai
ki us ka ek sar afghanistan mein
to baqi nau dusre jahan mein
aur kya us ne koi wardan pa liya hai
ki sar kaT kar phir dhaD se aa lagta hai
kya wo bhisham-pitama hai
ki apni achchha ke baghair mar nahin sakta
kya us ne apna clone bana liya hai
ki us ka KHatma na-mumkin ho gaya hai
sawal ye bhi hai
ki mizailon ka nishana chuk kyun jata hai
kya un ke purze Dhile hain
ki wo apna tawazun kho baiThti hain
be-samti ka shikar ho jati hain
kya wo andhi hain
ki bin-laden ko dekh nahin patin
kya un ki binai kamzor hai
ki wo laden aur ghair-laden mein tamiz nahin kar patin
bin laden koi sach to nahin
ki shakuni ki chaal us ke aage nakaam ho jae
wo laksha girah se bach kar nikal jae
agyat-bass se wapas aa jae
us ka chir-haran na ho sake
tiron ki shayya par zinda rah jae
kahin aisa to nahin
ki missilen use marna hi nahin chahatin
agar aisa hai
to ye mahshari mar
kis ke liye
ye musalsal yalghaar
kyun
hairan-o-pareshan arjun
krukshetra mein chiKHta phir raha hai
magar aaj ki maha-bhaarat mein
in sawalon ka jawab dene wala
koi kirshn nahin
koi kirshn nahin
- Book : Aank Mein Luknat (Pg. 208)
- Author : Ghazanfar
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.