mahawir
abr-e-gauhar-bār ban kar hind meñ aaya thā tū
ahl-e-duniyā ke liye paiġhām-e-haq laayā thā tū
saty bhārat meñ munī jī rūnumā tum se huā
aur ahinsā se zamāna āshnā tum se huā
jab tumhāre dushmanoñ ko kuchh gila tum se huā
raam saare ho ga.e jab sāmnā tum se huā
saare aalam par misāl-e-rang-o-bū chhāyā thā tū
ahl-e-duniyā ke liye paiġhām-e-haq laayā thā tū
maiñ bhulā saktā nahīñ aalam tirī tasvīr kā
us ne to naqsha badal Daalā mirī taqdīr kā
maiñ huuñ qaa.il 'vīr' kā aur 'vīr' kī tanvīr kā
kitnā dil-afroz hai halqa tirī zanjīr kā
jalva-e-haq kā vo ik be-laus sarmāya thā tū
ahl-e-duniyā ke liye paiġhām-e-haq laayā thā tū
ab jahāñ meñ chār-sū insāñ-kushī kā daur hai
ab zamāne kī fazā kā rang hī kuchh aur hai
aaj ke insān kā kitnā nirālā taur hai
zāhirī kuchh aur hai aur bātinī kuchh aur hai
ḳhāk-e-pāk-e-hind kā ganj-e-girāñ-māya thā tū
ahl-e-duniyā ke liye paiġhām-e-haq laayā thā tū
abr-e-gauhar-bar ban kar hind mein aaya tha tu
ahl-e-duniya ke liye paigham-e-haq laya tha tu
saty bhaarat mein muni ji runuma tum se hua
aur ahinsa se zamana aashna tum se hua
jab tumhaare dushmanon ko kuchh gila tum se hua
ram sare ho gae jab samna tum se hua
sare aalam par misal-e-rang-o-bu chhaya tha tu
ahl-e-duniya ke liye paigham-e-haq laya tha tu
main bhula sakta nahin aalam teri taswir ka
us ne to naqsha badal Dala meri taqdir ka
main hun qail 'wir' ka aur 'wir' ki tanwir ka
kitna dil-afroz hai halqa teri zanjir ka
jalwa-e-haq ka wo ek be-laus sarmaya tha tu
ahl-e-duniya ke liye paigham-e-haq laya tha tu
ab jahan mein chaar-su insan-kushi ka daur hai
ab zamane ki faza ka rang hi kuchh aur hai
aaj ke insan ka kitna nirala taur hai
zahiri kuchh aur hai aur baatini kuchh aur hai
KHak-e-pak-e-hind ka ganj-e-giran-maya tha tu
ahl-e-duniya ke liye paigham-e-haq laya tha tu
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 147)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.