mahawir
saty ahinsā ke paiġhambar
dukhiyoñ ke dildār
vardhamān mahāvīr svāmī
nekī ke autār
tū ne jag ke dukh harne ko
pal pal kashT sahe
ghor tapasyā aur fāqoñ se
tan man saaf kiye
vardhamān mahāvīr svāmī
nekī ke autār
kyā tere fāqoñ aur tap se
pashū man shānt huā
kyoñ ki terī hī dhartī par
aaj haiñ attyāchār
dhartī ambar ḳhuun meñ Duube
chāroñ khūñT Dakait
ab anaaj kī jagah ugaa.e
zinda lāsheñ khet
in lāshoñ ko
in khetoñ ko
aakar phir do praan
phir se amn kā giit sunāo
nekī ke bhagvān
saty ahinsā ke paiġhambar
dukhiyoñ ke dildār
saty ahinsa ke paighambar
dukhiyon ke dildar
wardhaman mahawir swami
neki ke autar
tu ne jag ke dukh harne ko
pal pal kashT sahe
ghor tapasya aur faqon se
tan man saf kiye
wardhaman mahawir swami
neki ke autar
kya tere faqon aur tap se
pashu man shant hua
kyon ki teri hi dharti par
aaj hain attyachaar
dharti ambar KHun mein Dube
chaaron khunT Dakait
ab anaj ki jagah ugae
zinda lashen khet
in lashon ko
in kheton ko
aakar phir do pran
phir se amn ka git sunao
neki ke bhagwan
saty ahinsa ke paighambar
dukhiyon ke dildar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.