ek ḳhushbū sī basī rahtī hai sāñsoñ meñ mire
husn kā dhyān bhī ḳhud husn ke mānind hasīñ
paas ho tum to ye qudrat hai mohabbat jaage
duur hone pe bhī ehsās kā rahnā hai yaqīñ
lamha har saath meñ laatā hai hazāroñ duniyā
buuñd kī kokh meñ jyuuñ indr-dhanush rahtā hai
kitne bhī gahre añdhere hoñ tumhārā jaadū
raushnī ban ke har ik rag meñ merī bahtā hai
husn vo shai hai ki jis kī koī sarhad hī nahīñ
vaqt be-ma.anī hai aur fāsla ik dhoka hai
ghaav rahtā hai harā Tiis ke pahnāve meñ
ḳhvāb aur yaad kā ek ek nafas sachchā hai
ek KHushbu si basi rahti hai sanson mein mere
husn ka dhyan bhi KHud husn ke manind hasin
pas ho tum to ye qudrat hai mohabbat jage
dur hone pe bhi ehsas ka rahna hai yaqin
lamha har sath mein lata hai hazaron duniya
bund ki kokh mein jyun indr-dhanush rahta hai
kitne bhi gahre andhere hon tumhaara jadu
raushni ban ke har ek rag mein meri bahta hai
husn wo shai hai ki jis ki koi sarhad hi nahin
waqt be-mani hai aur fasla ek dhoka hai
ghaw rahta hai hara Tis ke pahnawe mein
KHwab aur yaad ka ek ek nafas sachcha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.